Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Merey Khiyalaat Ki Tarjumani Kaun Kare Ga?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Merey Khiyalaat Ki Tarjumani Kaun Kare Ga?

    Merey Khiyalaat Ki Tarjumani Kaun Karey Ga???


    Aey Qalam kaash tu karta merey khiyalaat ki tarjumani
    roshnaee-e-lahw-e-dil sey likh deta rudaad-e-zindagi
    lab terey sey likhey alfaaz merey shikwey hotey
    merey shikwon ki kahani, sun aankhon ki zubani
    meri aahon key badil chhaey hain is tarha keh
    merey ashkon sey chhaee hai merey dil peh tughyani
    likh do keh merey halaat na'saaz hain is tarha key
    duniya cheen li hai duniya walon ney dey ker hirs-e-aasmani
    likhtey likhtey kyun ruk geya hai tu aey qalam?
    fil hal to na kar saka tu merey khiyalaat ki tarjumani
    darkaar hai gar tujh ko roshnaee to aey mehrbaan
    qatra qatra khoon ka nachorr kar likh do ik tehreer lafani
    tu hi btaa kya kahoon main uskey teer-e-neem kash ko
    jis sayyad ko dil-e-mushtaq ney bar'ha'bar kaha jaani
    tabiyat-o-zeest mein koi ham'aahangi nahin hai
    dil jis sey behal jaey, kahan hai woh mehfil suhani?
    tu hi btaa aey qalam jab dil udas aur lab peh fughan ho
    taskeen-e-dil-o-sakoot-e-lab key liye munasib hai konsi kahani
    kya kahoon Masood main us haseen rehzan ko
    jo ban na saka dilbar, jo nibhaa na saka dilstaani

    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Merey Khiyalaat Ki Tarjumani Kaun Kare Ga?

    wahhh masood bhaii khoobsoorat:rose
    Qaffas-e-hijr mein
    saansoon ka amal
    jarii tou hey magar
    zindagii hey kahaan
    dhoondh raha hoon
    sagarkhan:rose

    Comment


    • #3
      Re: Merey Khiyalaat Ki Tarjumani Kaun Kare Ga?

      buhaat khoobsorat!

      Comment


      • #4
        Re: Merey Khiyalaat Ki Tarjumani Kaun Kare Ga?

        :masha :phool:

        Comment


        • #5
          Re: Merey Khiyalaat Ki Tarjumani Kaun Kare Ga?

          Wah Masood ji ...... hum tu kuch nahi keh sakti... buht achaa lagaa pher kar :rose
          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

          :pr:

          Comment


          • #6
            Re: Merey Khiyalaat Ki Tarjumani Kaun Kare Ga?

            u gave a very beautiful caption to ur creation
            regards
            uzma khan

            Comment


            • #7
              Re: Merey Khiyalaat Ki Tarjumani Kaun Kare Ga?

              Masood

              buhat achha likhtey ho

              Comment


              • #8
                Re: Merey Khiyalaat Ki Tarjumani Kaun Kare Ga?

                buhut zabardasssssssst
                Tum Agar Bhool bhi jaao tu Ye Haq hay Tumko
                Meri Baat Or hay Mainay Tu Muhubbat ki hay ... !

                Comment


                • #9
                  Re: Merey Khiyalaat Ki Tarjumani Kaun Kare Ga?

                  buhaat hi khoobsorat! :bou:

                  Comment

                  Working...
                  X