Meri Shairi
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Aakhri Tamana
Collapse
X
-
Re: "Meri Shairi" - Best Of Masood
Aray app ki shairi to zaberdast hay
Comment
-
Re: "Meri Shairi" - Best Of Masood
Originally posted by MasoodAakhri Tamana - Aik Nazam.
Assalaam o alekum,
Masood sahib aapki tehreer pehli baar perh rahey hum aur humien aapki tahreer behud pasand aayi humaari jaanib se dili daad qabool karein khush rahien:tang: RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:
Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe
Comment
-
Re: Aakhri Tamana
Assalam.o.aleikum
ta ji aap ki taihreero'n ko parhti rahi hu'n aur bouhat mutassir bhi un'say hui hu'n.aap jitnay achay nasar nigaar hai'n utnay hi Masha Allah say umda shaair bhi hai'n.aap kay lafzo'n aur jazbo'n ki sachaai aap ki shaairi mai'n numaya'n hay jab hi pur asar bhi hay.aap likhtay rahiye aur ham sab parhtay rahai'n.Khush rahiye ta ji.Aameen:):roseENIGMA:rose
Comment
-
Re: Aakhri Tamana
bohat kuch har gia hoon ab to laga de aqal thikaney ko
bohat hi zabardast poem hai.......... can I add it in my favorite collection plz....
I am poem lover.......n this one is really awesome....
Comment
-
Re: Aakhri Tamana
bahut khood masood kafi arse ke baad aap shaery ki taraf aae hain is silsiley ko jari rakhiye ga bahut acha likhtey hain ye tu maloom hi hai mager shairy bhi kuch kam nahin hai aap ki umeeed hai yeh section aap ki Amad se mehrom nahin rahe ga ..
Comment
-
Re: Aakhri Tamana
Brijinder Ji key hukm per main apney shairi ko ab roman mein likhoon ga keh woh bhi parh sakein:
Aakhri Tamana
go keh tu maahir thi rukh-e-mehfil badalney mein
khushi mein badal na saki tu merey gham key afsaney ko
khawabon mein tera bar-ha-bar aana dil tarrpata hai
tarastey hain nain tujhey apney samney paaney ko
yun bhi khawabon mein dekhey hain an-ginnat log anjaney sey
haqeeqat btaa na saka jinki zamaney ko
sanpon sey bachney key liye aashiyaan bnaya tha bulandiy-e-shajar per
aqabon ki hawas ney tabah kiya us aashiyaney ko
zameen tang hai ya khuda be'reham hai aasman
is be'dard jahan mein kyun tanhaa kar diya is deewaney ko
ik chhoti si khushi paaney ko bohat kuchh khoya hai main ney
bohat kuchh haar geya hoon, ab to lgaa dey aqal thikaney ko
muhabbat ka khail hi kuchh aisa hai, ya to khushi ya gham
afsos apney haarney ka nahin, mubarak unkey haraney ko
be'dosh hotey huwey bhi bewafa ban geya
ab to seeney sey lgaa lo aey shama apney parwaney ko
jaaney kyun dil machalta hai aaj, terey rukh-e-naar mein
gham duniya key bhool janey ko, mar janey ko
koi aur tamana nahi bas terey daman sey lippat kar
khatam kar doon mai apney pyaar key afsaney kotumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Aakhri Tamana
Array Masood,Am really pleasantly surprised.A very good attempt indeed.
As I say again n again n yet again to all that read as much as you can and not only urdu litrature but from all the world.It will broaden your mental horizons.Atleast it made me stand on my own feet and gave me courage to explore even my own condtionings.
Once again congrats.
Brijinder
Comment
Comment