Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aakhri Tamana

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aakhri Tamana

    Meri Shairi
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: "Meri Shairi" - Best Of Masood

    Aakhri Tamana - Aik Nazam.
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: "Meri Shairi" - Best Of Masood

      aslaam_u_alikam

      masood shaib aap ki yeh nazm bohat achii lagii.
      umeed kertii hun aap ka mazeed kalam bhi perhney ko miltaa rahey gaa
      bohat shukriya share kerney kaa.
      :)

      Comment


      • #4
        Re: "Meri Shairi" - Best Of Masood

        hmm bohat umda masood khoob likhtey ho share kertey raho jeetey raho khush raho sada abad raho

        Comment


        • #5
          Re: "Meri Shairi" - Best Of Masood

          Aray app ki shairi to zaberdast hay
          http://www.genericviagra2015shop.com/

          Comment


          • #6
            Re: "Meri Shairi" - Best Of Masood

            Originally posted by Masood
            Aakhri Tamana - Aik Nazam.

            Assalaam o alekum,


            Masood sahib aapki tehreer pehli baar perh rahey hum aur humien aapki tahreer behud pasand aayi humaari jaanib se dili daad qabool karein khush rahien
            :tang: RISK IS MY BUSINESS

            DANGER IS MY GAME

            DONT PLAY WITH ME
            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

            Comment


            • #7
              Re: "Meri Shairi" - Best Of Masood

              boht pyari nazm share ki balkeh takhleeq ki, boht shukriya!

              Comment


              • #8
                Re: Aakhri Tamana

                Assalam.o.aleikum

                ta ji aap ki taihreero'n ko parhti rahi hu'n aur bouhat mutassir bhi un'say hui hu'n.aap jitnay achay nasar nigaar hai'n utnay hi Masha Allah say umda shaair bhi hai'n.aap kay lafzo'n aur jazbo'n ki sachaai aap ki shaairi mai'n numaya'n hay jab hi pur asar bhi hay.aap likhtay rahiye aur ham sab parhtay rahai'n.Khush rahiye ta ji.Aameen:)
                :roseENIGMA:rose

                Comment


                • #9
                  Re: Aakhri Tamana

                  bohat kuch har gia hoon ab to laga de aqal thikaney ko
                  bohat hi zabardast poem hai.......... can I add it in my favorite collection plz....
                  I am poem lover.......n this one is really awesome....

                  Visit My Early PS Work
                  You Are Welcome To Comment

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aakhri Tamana

                    bahut khood masood kafi arse ke baad aap shaery ki taraf aae hain is silsiley ko jari rakhiye ga bahut acha likhtey hain ye tu maloom hi hai mager shairy bhi kuch kam nahin hai aap ki umeeed hai yeh section aap ki Amad se mehrom nahin rahe ga ..

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aakhri Tamana

                      walikum assalam

                      or buhat nice!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Aakhri Tamana

                        Brijinder Ji key hukm per main apney shairi ko ab roman mein likhoon ga keh woh bhi parh sakein:


                        Aakhri Tamana

                        go keh tu maahir thi rukh-e-mehfil badalney mein
                        khushi mein badal na saki tu merey gham key afsaney ko
                        khawabon mein tera bar-ha-bar aana dil tarrpata hai
                        tarastey hain nain tujhey apney samney paaney ko
                        yun bhi khawabon mein dekhey hain an-ginnat log anjaney sey
                        haqeeqat btaa na saka jinki zamaney ko
                        sanpon sey bachney key liye aashiyaan bnaya tha bulandiy-e-shajar per
                        aqabon ki hawas ney tabah kiya us aashiyaney ko
                        zameen tang hai ya khuda be'reham hai aasman
                        is be'dard jahan mein kyun tanhaa kar diya is deewaney ko
                        ik chhoti si khushi paaney ko bohat kuchh khoya hai main ney
                        bohat kuchh haar geya hoon, ab to lgaa dey aqal thikaney ko
                        muhabbat ka khail hi kuchh aisa hai, ya to khushi ya gham
                        afsos apney haarney ka nahin, mubarak unkey haraney ko
                        be'dosh hotey huwey bhi bewafa ban geya
                        ab to seeney sey lgaa lo aey shama apney parwaney ko
                        jaaney kyun dil machalta hai aaj, terey rukh-e-naar mein
                        gham duniya key bhool janey ko, mar janey ko
                        koi aur tamana nahi bas terey daman sey lippat kar
                        khatam kar doon mai apney pyaar key afsaney ko
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: Aakhri Tamana

                          Array Masood,Am really pleasantly surprised.A very good attempt indeed.
                          As I say again n again n yet again to all that read as much as you can and not only urdu litrature but from all the world.It will broaden your mental horizons.Atleast it made me stand on my own feet and gave me courage to explore even my own condtionings.
                          Once again congrats.
                          Brijinder

                          Comment


                          • #14
                            Re: Aakhri Tamana

                            umda

                            Comment


                            • #15
                              Re: Aakhri Tamana

                              awesome..khush rahiye
                              Tum Agar Bhool bhi jaao tu Ye Haq hay Tumko
                              Meri Baat Or hay Mainay Tu Muhubbat ki hay ... !

                              Comment

                              Working...
                              X