Phir wohi teen-age ka kalaam share karta hoon:
Umeed
samaan raas na aaya hai, taqdeer ko meri eid ka
dil mein ik phool khil utha hai ab umeed ka
juda taqdeer ney ham ko kar hi diya hai to kya huwa?
aaey ga inshaAllah ik din lamhaa teri deed ka
tum aao to mehfil-e-dil sajjey, shama-e-muhabbat afroz ho
mil baithein deewaney do, mazzah aaey guft-o-shuneed ka
bin tere hain pheekey sab rang qos-e-qazah key bhi
bin tere hai shab-e-yalda yeh ujala eid ka
dor-e-muhabbat mein har sitam mehboob ka pyara lagta hai
Khuda haami-o-naasir ho Masood tujh yazeed ka

Comment