Ahmed Faraz ji merey pasandeedah shair hain. Unki aik ghazal ka misrah hai "bahar ki hai" yeh mujhey bohat achha laga to dil chaha keh khud kuchh kavish ki jaey is per. To aik ghazal likhi hai - pesh-e-khidmat hai:
Zakhm Huwey Hain Tazah
Zakhm huwey hain taazah key ibtida bahar ki hai
aey dil zabt karna! yeh saza bahar ki hai
aey naseem-e-sehar! jao jo unkey nagar, to yeh kehna
"karab ki aahoun mein dhali wafa bahar ki hai
hijjar ka badil hai chhaya, shaam-e-gham kathin
dil ney tujh ko pukara keh ibtida bahar ki hai"
kyunker poonchh sakein ge ham, aankhon mein aaey ashk
keh ashkon sey bheegi hui rida bahar ki hai
teri mehfil mein aa to jaein, per kaisey aaein ham
paoun mein hain silasil, to chaak qaba bahar ki hai
ham to thehrey sehraa-naward, kya kaam hamein shehar sey
khushi raho, sukhi baso, yeh sadaa bahar ki hai
Masood shayid hi ho ga koi Faraz sey na-aashna
"keh aap apna ta'aruf hawa bahar ki hai"

Comment