Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aey Ishq Hamein Barbad Na Kar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aey Ishq Hamein Barbad Na Kar

    "Aey Ishq Hamein Barbad Na Kar" - Yeh nazam bohat hi haseen hai aur is Nayyara Noor ney bohat pyarey andaaz mein gaya hai. Is key yeh alfaaz mujhey bohat pasand hain, inhein per main ney bhi aik ghalat-salat si koshish ki hai, qabool kijiye:
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Aey Ishq Hamein Barbad Na Kar

    Acha ghalat salat likha hey aap ne. Boht shukriya.

    Comment


    • #3
      Re: Aey Ishq Hamein Barbad Na Kar

      AOA,


      Wah hazrat kia baat hai:rose


      Sohail Abbasi.
      Apna haq ada karo.

      Comment


      • #4
        Re: Aey Ishq Hamein Barbad Na Kar

        hhhmm nice

        Comment


        • #5
          Re: Aey Ishq Hamein Barbad Na Kar

          Originally posted by Masood
          "Aey Ishq Hamein Barbad Na Kar" - Yeh nazam bohat hi haseen hai aur is Nayyara Noor ney bohat pyarey andaaz mein gaya hai. Is key yeh alfaaz mujhey bohat pasand hain, inhein per main ney bhi aik ghalat-salat si koshish ki hai, qabool kijiye:

          aslaam_u_alikam

          waah kiya baat hey.
          masood sahib aap ki yeh nazm behad pasand aayii.
          bohat shukriya is khubsoorat si nazm ko share kerney key liye.
          likhtey rahiye.
          shukriya

          Comment


          • #6
            Re: Aey Ishq Hamein Barbad Na Kar

            Wah Buhat khoob :rose



            khush rahyeah :rose
            Zindagi Thak Gaye ..!!

            Comment


            • #7
              Re: Aey Ishq Hamein Barbad Na Kar

              Assalam-o-Alikum!!
              ise topic se related ik poem jo mujhe buhat pasand hai.
              umeed hai apko bhi acchi lage gi!


              Ay ishq humin barbaad na ker,barbaad na ker
              Ay ishq na cher a a k humin,hum bhoole houn ko yad na ker
              pehle hi buhat na shaad hain hum,tu oor humin na shaad na ker
              qismat k sitam bhi kam nahi,tu taza sitam iijaad na ker
              yun zulm na ker be dagh na ker
              Ay ishq humin barbadd na ker,barbaad na ker

              Raaton ko uth uth ker roote hain,ro ro k duain kerte hain
              ankhon main tasawur,dil main khalish sir gunjte hain aahin bharte hain
              Ay ishq ye kesa roog laga...jeete hain na zalim marte hain
              in khwab se yuun azaad na ker
              Ay ishq humin bar bad na ker,barbaad na ker

              Jis din se bandha hai dihaan tera,ghabrai hoe se rehte hain
              her waqt tasawur ker ker k sharmai hoe se rehte hain
              kunbhlai hoe phoolon ki tarah khumbhlai hoe se rehte hain
              pamaal na ker,be dagh na ker
              Ay ishq humin barbaad na ker,barbaad na ker


              Comment


              • #8
                Re: Aey Ishq Hamein Barbad Na Kar

                Batein hain us ki khokhli in per dunya aabad na kar
                Wah Bohat aala :)
                Allah

                Comment


                • #9
                  Re: Aey Ishq Hamein Barbad Na Kar

                  Assalaam o alekum,


                  masoood nayyara noor ki yeh ghazal aye ishq humien ...... meri bhi fav ghazloon mien se ek hai main roozaanaa ek baar iss ghazal ko suntaa hun mujhe behud pasand aayi hai yeh ghazal aur aapki khi kooshish bhi ussi andaaz per hai aapki ghazal perh per yaad aagayi nayyaraa noor ki shukriyaa humse share kernien kaa dili daad qabool karien khush rahien :rose :rose :rose


                  aye ishq humien itnaa to bataa

                  anjaam humaaraa kyaa hogaa

                  taqdeer bataa ab isse buraa

                  anjaam humaaraa kyaa hooga
                  :tang: RISK IS MY BUSINESS

                  DANGER IS MY GAME

                  DONT PLAY WITH ME
                  BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                  Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                  Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aey Ishq Hamein Barbad Na Kar

                    nice

                    Comment

                    Working...
                    X