Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

muHabbatoN ke diye hum jalaa'eN ge phir se

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • muHabbatoN ke diye hum jalaa'eN ge phir se

    ek taazah kalaam ke saath Khayaal apne chaahne waaloN urdu ke chaahne waaloN aur PEGHAM ke chaahne waaloN kee Khidmat meN aad aab bajaa laataa hai
    Arz e Khidmat hai:salam:


    muHabbatoN ke diye hum jalaa'eN ge phir se
    kadooratoN ko diloN se miTaa'eN ge phir se

    har ek samt khilaa deN ge phool ulfat ke
    haiN nafratoN ke jo kaaNTe haTaa'eN ge phir se

    Khafaa Khafaa se jo tum duur ho ga'ey ho yuN
    qareeb aaow gale se lagaa'eN ge phir se

    tumhee se pyaar kareN ge tumhee ko chaaheN ge
    hum apne dil meN tumheN hee basaa'eN ge phir se

    jo waqt beet gaya usko bhool jaa'eN ge
    jo waqt baaqee hai mil ke bitaa'eN ge phir se

    tumhaare baare meN socheN ge tum ko hee apne
    Haseen KhwaaboN meN abb hum sajaa'eN ge phir se

    Khudaaraa lauT ke aajaaow zindagee ban kar
    tumhaare saath hee jee kar dikhaa'eN ge phir se

    "Khayaal" mil ke safar apnaa ab kareN ge hum
    qadam milaa ke qadam bhee baRhaa'eN ge phir se

    Ismail Ajaz Khayaal:hii:


    Attached Files
    Last edited by Ismail Ajaz; 14 October 2011, 18:09.
    Ismail Ajaz (Khayaal)

    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

  • #2
    Re: muHabbatoN ke diye hum jalaa'eN ge phir se

    nice

    Comment


    • #3
      Re: muHabbatoN ke diye hum jalaa'eN ge phir se

      wow wow very nice.

      Comment


      • #4
        Re: muHabbatoN ke diye hum jalaa'eN ge phir se

        Originally posted by ahsaas View Post
        nice
        aiHsaas
        aapkaa beHad shukriyah
        Ismail Ajaz (Khayaal)

        muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
        Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

        Comment


        • #5
          Re: muHabbatoN ke diye hum jalaa'eN ge phir se

          Originally posted by skz View Post
          wow wow very nice.
          skz
          Khush rahiye aap kaa beHad shukriyah
          Ismail Ajaz (Khayaal)

          muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
          Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

          Comment


          • #6
            Re: muHabbatoN ke diye hum jalaa'eN ge phir se

            Wah, phir se naye iradoN k sath zaahir hony waly aap k yeh ahsaasaat pasand aaye, behadh mamnoon hon ke aap ne pegham per apny kalam share karny ka silsala jari rakha hua hy, Ustad ShairoN ki pegham per bohat kami hy aur yeh Pegham.com k lye aik fakhr ki baat hay ke Pegham per aap, masood aur brijinder jee jesy Nam'war aur Ustad shair mojood hain, aap sahiban ki mojodgi pegham k lye kaafi hy, please keep it up sir,

            Pegham Administration
            Allah

            Comment


            • #7
              Re: muHabbatoN ke diye hum jalaa'eN ge phir se

              Originally posted by Yaaram View Post
              Wah, phir se naye iradoN k sath zaahir hony waly aap k yeh ahsaasaat pasand aaye, behadh mamnoon hon ke aap ne pegham per apny kalam share karny ka silsala jari rakha hua hy, Ustad ShairoN ki pegham per bohat kami hy aur yeh Pegham.com k lye aik fakhr ki baat hay ke Pegham per aap, masood aur brijinder jee jesy Nam'war aur Ustad shair mojood hain, aap sahiban ki mojodgi pegham k lye kaafi hy, please keep it up sir,

              Pegham Administration

              janaab moHtaram Yaaram SaaHeb

              aap kaa Husn e nazar aur zarrah nawaazee mere liye beHad qeemtee aur qaabil izzat hai ,baa'iC e aizaaj hai ,magar maiN asaatizah ke paa.oN kee dhool ke baraabar bhee naheeN hooN ,maiN tow bas laikh detaa hooN jo aap qadrdaanoN ko pasaNd aajaataa hai ,baihar Haal yeh meree izzat afzaa'ee aur hauSlah afzaa'ee hai aap kee muHabbat o inaayat ke tawassut se PEGHAM aur uske chaahne waaloN se juRaa rahooN aur apnee nigaarishaat o kaavishaat ko aap aiHbaab kee Khidmat meN pesh kartaa rahooN

              Allah aap ko dunyaa o aaKhirat kee KhushiyaaN aur izzateN Ataa farmaa'ey aur iss PEGHAM aur aihl e PEGHAM KO dunyaa ke liye mish'Al e raah banaa'ey aur raihtee insaaniyat ko aap aiHbaab kee giraaNqadr kaavishaat se baihrah war famaa'ey

              aap sabhee kaa beHad shukriyah
              mamnoon
              Ismail Ajaz (Khayaal)

              muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
              Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

              Comment


              • #8
                Re: muHabbatoN ke diye hum jalaa'eN ge phir se

                very nice sharing

                Comment

                Working...
                X