ek taaZah kalaam ke saath Khayaal kaa PeGham aur uske chaahne waaloN ko aadaab
Arz Khidmat hai
naaow chaltee rahe biphre huwe maNjdhaae ke saath
mauj laRtee hai tow laRtee rahe patwaar ke saath
zindagee waqt kee tuGhyaanee se Doobe ubhre
saaNs rukne lage ummeed kee raftaar ke saath
uR rahaa hai jo tuu be Khauf saa paNchhee aazaad
daam meN aa'ey gaa Sayyaad ke , pinddaar ke saath
hosh jabb aa'ey gaa ikk roz tujhe ay SaaHeb
maantaa jaa'ey gaa har baat tuu inkaar ke saath
haiN sitamgar mire dil par tire aiHsaan bohot
zaKhm naasoor bane jaate haiN guftaar ke saath
kal talak chup kee mohr tujh peh yuN lag jaa'ey gee
" jaise taSweer lagaa de ko'ee deewaar ke saath "
jisko mil jaa'ey urooj uspeh zawaal aataa hai
waqt aa'eenah dikhaataa hai , tow kirdaar ke saath
maiN naheeN Dartaa "Khayaal" naa hee maiN ghabraataa hooN
khul ke kaih detaa hooN har baat baRe pyaar ke saath
Ismail Ajaz Khayaal

Comment