Khayaal kaa peGham aur uske tamaam chaahne waaloN ko aur urdu se muHabbat rakhne waaloN ko salaam
arz e Khidmat hai
sun ! musaafir tujh ko kuchh apnee Khabar hai keh naheeN
Zaad e raah tere safar kee muKhtaSar hai keh naheeN
tuu baGhaawat kar rahaa hai apne maalik se magar
dekh le arZ o samaa se bhee mafar hai keh naheeN
hai Zarooree jaannaa manzil ko paane ke liye
meree manzil ke liye yeh raihguzar hai keh naheeN
apne apne waqt par lowg aa'eN ge aur jaa'eN ge
saath unke chalne kaa tujh meN hunar hai keh naheeN
sun rahaa hai har ko'ee Allaah akbar kee Sadaa
dekhnaa yeh hai gayaa sajde meN sar hai keh naheeN
hai naheeN furSat tujhe labbayek kaihne ke liye
tuu huwaa maSroof dunyaa meN idhar hai keh naheeN ?
so rahaa hai kis liye Ghaflat kee chaadar auRh kar
apne rab se hee huwaa tuu beKhabar hai keh naheeN
kaamyaabee ke liye jo dekhtaa tuu Khwaab hai
unkee ta'AbeeroN peh bhee rakhtaa nazar hai keh naheeN
ko'ee teraa saath dene ke liye raaZee tow ho
jaan e mann dildaar yaa laKht e jigar , hai keh naheeN ?
tuu akelaa jaa'ey gaa teree laHd meN bhee "Khayaal"
chhoR deN ge sab tujhe tanhaa udhar hai keh naheeN
Ismail Ajaz Khayaal

Comment