peghaam ke chaahne waaloN ko Ismail Ajaz (Khayaal) ka salaam
arz e Khidmat hai
aaCaar raushnee ke andheroN ke darmiyaaN
ummeed jagaate haiN saweroN ke darmiyaaN
toofaan saaHiloN se palaT jaa'eNge suno !
jeevan kee naaow chalne dow laihroN ke darmiyaaN
sargoshiyaaN haiN kaanoN meN aiHsaas kee zubaaN
hai maut o zeest apne hee gheroN ke darmiyaaN
aawaaz ek panchhee kee aatee hai dasht se
ulfat kee dhoop chhaa'oN hai paiRoN ke darmiyaaN
ikk azm ek HauSlah chaltaa hai saath saath
raahoN ke pech o Kham liye pheroN ke darmiyaaN
hoN ajnabee se lowg bohat jab bhee aas paas
apnoN kaa haath thaam lo GhairoN ke darmiyaaN
ulfat ke raaste peh chale jaaow tum "Khayaal"
nafrat kee jab nigaaheN hoN paihroN ke darmiyaaN
Ismail Ajaz Khayaal

Comment