Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aaCaar raushnee ke andheroN ke darmiyaaN

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aaCaar raushnee ke andheroN ke darmiyaaN

    peghaam ke chaahne waaloN ko Ismail Ajaz (Khayaal) ka salaam
    arz e Khidmat hai



    aaCaar raushnee ke andheroN ke darmiyaaN
    ummeed jagaate haiN saweroN ke darmiyaaN
    toofaan saaHiloN se palaT jaa'eNge suno !
    jeevan kee naaow chalne dow laihroN ke darmiyaaN

    sargoshiyaaN haiN kaanoN meN aiHsaas kee zubaaN
    hai maut o zeest apne hee gheroN ke darmiyaaN
    aawaaz ek panchhee kee aatee hai dasht se
    ulfat kee dhoop chhaa'oN hai paiRoN ke darmiyaaN

    ikk azm ek HauSlah chaltaa hai saath saath
    raahoN ke pech o Kham liye pheroN ke darmiyaaN
    hoN ajnabee se lowg bohat jab bhee aas paas
    apnoN kaa haath thaam lo GhairoN ke darmiyaaN

    ulfat ke raaste peh chale jaaow tum "Khayaal"
    nafrat kee jab nigaaheN hoN paihroN ke darmiyaaN

    Ismail Ajaz Khayaal
    Attached Files
    Ismail Ajaz (Khayaal)

    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

  • #2
    Re: aaCaar raushnee ke andheroN ke darmiyaaN


    ulfat ke raaste peh chale jaaow tum "Khayaal"
    nafrat kee jab nigaaheN hoN paihroN ke darmiyaaN


    Buhat umda

    Comment


    • #3
      Re: aaCaar raushnee ke andheroN ke darmiyaaN

      bahut hi nice sharing

      Comment


      • #4
        Re: aaCaar raushnee ke andheroN ke darmiyaaN

        Originally posted by Mr.Khan View Post

        ulfat ke raaste peh chale jaaow tum "Khayaal"
        nafrat kee jab nigaaheN hoN paihroN ke darmiyaaN


        Buhat umda
        iss inaayat o muHabbat ke liye dil se sipaasguzaar hooN moHtaran Khaan SaaHeb
        Ismail Ajaz (Khayaal)

        muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
        Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

        Comment


        • #5
          Re: aaCaar raushnee ke andheroN ke darmiyaaN

          Originally posted by Nadia khan View Post
          bahut hi nice sharing

          Nadia Khan

          Allah aap ko Khush rakkhe

          mamnoon
          Ismail Ajaz (Khayaal)

          muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
          Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

          Comment


          • #6
            Re: aaCaar raushnee ke andheroN ke darmiyaaN

            buht umdha aur khubsurat lekha hai... khush rahein
            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

            :pr:

            Comment


            • #7
              Re: aaCaar raushnee ke andheroN ke darmiyaaN

              Originally posted by *Hala* View Post
              buht umdha aur khubsurat lekha hai... khush rahein
              bohot inaayat hai aap kee

              Hala Jee

              khush rahiye
              Ismail Ajaz (Khayaal)

              muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
              Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

              Comment

              Working...
              X