Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

yaad bhi unki hamsafar na hui

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • yaad bhi unki hamsafar na hui

    aslaam_u_alikam

    yaad bhi unki hamsafar na hui
    aur duaa koi baa acar na houi

    esey uljhey terey jhameiloN main
    zindagi tujh ko bhi khabar na huii

    qissa-e-dard jaante the sab
    be.khabar ! bas tujhe khabar na houi

    umr bhar uljhanon ko suljhaaya
    do ghari chein sey basar nah houi

    khavaahishein to hazaar thiin lekin
    aik bhi poori umr bhar na hui

    her gharee deep hum jalaatey rahey
    per khushi ki kabhi saHar na houi

  • #2
    Re: yaad bhi unki hamsafar na hui

    kamal likha hay aap ne Fatimah :) Aik Aik lafz umdah :) mazeed ka wait rahe ga :)
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: yaad bhi unki hamsafar na hui

      Originally posted by Yaaram
      kamal likha hay aap ne Fatimah :) Aik Aik lafz umdah :) mazeed ka wait rahe ga :)

      aslaam_u_Alikam

      bohat shukriya yaaram

      Comment


      • #4
        Re: yaad bhi unki hamsafar na hui

        Originally posted by Fatimah

        esey uljhey terey jhameiloN main
        zindagi tujh ko bhi khabar na huii

        qissa-e-dard jaante the sab
        be.khabar ! bas tujhe khabar na houi

        umr bhar uljhanon ko suljhaaya
        do ghari chein sey basar nah houi


        :masha buhut khoob Fatima :)

        yeh ashar zada pasand aayeh :thmbup:
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: yaad bhi unki hamsafar na hui

          Originally posted by Fatimah
          aslaam_u_alikam

          yaad bhi unki hamsafar na hui
          aur duaa koi baa acar na houi

          esey uljhey terey jhameiloN main
          zindagi tujh ko bhi khabar na huii

          qissa-e-dard jaante the sab
          be.khabar ! bas tujhe khabar na houi

          umr bhar uljhanon ko suljhaaya
          do ghari chein sey basar nah houi

          khavaahishein to hazaar thiin lekin
          aik bhi poori umr bhar na hui

          her gharee deep hum jalaatey rahey
          per khushi ki kabhi saHar na houi
          Adaab!!!
          bohat khoob ... bohat umdah ...likhty hain aap:phool:
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: yaad bhi unki hamsafar na hui

            Originally posted by miss magnet
            :masha buhut khoob Fatima :)

            yeh ashar zada pasand aayeh :thmbup:

            aslaam_u_Alikam

            shukriya miss magnet

            agar main galati per nahin hun to tum saima ho ?

            Comment


            • #7
              Re: yaad bhi unki hamsafar na hui

              wow its nice

              Comment


              • #8
                Re: yaad bhi unki hamsafar na hui

                Originally posted by Eshaa_wellwisher
                Adaab!!!
                bohat khoob ... bohat umdah ...likhty hain aap:phool:

                aslaam_u_Alikam

                thanks esha

                Comment


                • #9
                  Re: yaad bhi unki hamsafar na hui

                  Originally posted by Jhumroo
                  salaam Faatimah :rose

                  aapkii Ghazal paRhii aur pasand bhii aayii magar bahr/vazan kaa masla nazar aayaa...Ghazal ke taqreeban har ash'aar kaa pahla misr'a ek bahr emN hai to dusraa misr'a duusrii bahr meN hai...ash'aar ke misr'oN ke maa bain kahiiN kahiiN Khayaal kii ham-aahangii aur rab-e-baahamii emN Khalal nazar aayaa. mere Khayaal se aapke andar shaa'iraana salaaHiyateN haiN magar unheN zaraa ba-too-e-kaar laane kii ashadd zaroorat hai

                  ummeed hai k aapko merii baateN naa-gawaar na guzrii hoNgii kiuNki meraa maqsad tanqeed yaa tanqees qata'ii nahiiN hai...yeh maHez ek dostaana sujhaao thaa...bas! phir bhii agar baat naa-guzeer guzrii ho to maiN ma'zarat_Khaah huuN...shukria :rose

                  _______Jhumroo

                  aslaam_u_alikam

                  jhumroo saahib shukriya ,
                  jahan tak rahi baat behr main na honey ki to raj kumar saahib jesey ustaad shaair ney bhi is main behr ki koi galati nahin nikaali:)

                  aap ki raaye ka shukriya

                  Comment


                  • #10
                    Re: yaad bhi unki hamsafar na hui

                    awesome



                    ...
                    Koi Kash Dil Pe Zara Haath Rakh De
                    Mere Dil K Tukro Ko Ik Saath Rakh De
                    Magar Ye Hain Khawabo Khayalo Ki Baatein
                    Kabhi Toot Ker Cheez Koi Jori Hai?

                    Comment

                    Working...
                    X