Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khudi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khudi

    Khudi

    Khudi say hai wajood-e-adam
    Phir issay itnaa inkaar kyuN hai
    Khud jawaab bun kay chamaktaa hai yeh sawaal
    Phir sadioN say ispay itnaa takraar kyuN hai

    Khudi maqaam-e-ahsaas-e-inthaa
    Khudi zauq-e-bedaari-e-insaaN
    Khudi tamad.dun ki nighabaan
    Khudi zauq-e-parwaa ka naam

    Khudi ka des ik zameen-e-zarkhaiz
    Khirad ka shajar aur ahsaas ka samar
    Aisay gulshanoN main palee khudi ki umr

    Khudi jab raushan ho aaftaab ki maaniNd
    Khuda bun jaati hai
    Khudi gar bhtak jayay raah-e-ilam say benoor parstish main
    GunaaH bun jaati hai

    Bahut naazuk-o-b_land hai raah-seerat-e-khudi
    Neechay gehri aNdhairi hai ghaflat ki nadee

    Pehlay uthlay paanioN par pul banaanaa
    Hosh apnay ko aazmaanaa
    Phir daraaoN par ja kay dohraanaa
    Tub seeraat-e-khudi par aanaa

    ------------------------------------------
    __________________
    Last edited by Brijinder; 4 March 2006, 21:43. Reason: typo errors

  • #2
    Re: Khudi


    HMMMMM.....
    TOO DEEP.....

    CHIPKOOOOOOOOOOOO

    Comment


    • #3
      Re: Khudi

      I hope u enjoyed it n it provided a different perspective.
      Brijinder"Sagar"

      Comment


      • #4
        Re: Khudi

        mashaALLAH kia yeh aap kee apni tehreer hay.?

        Comment


        • #5
          Re: Khudi

          bohat zabardast ay ji bara aacha banaya g
          Chuadry Irfan Ali

          Comment


          • #6
            Re: Khudi

            Thanx for the appreciation.Yes! it is written by me.
            Brijinder"Sagar"

            Comment

            Working...
            X