Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

TalkhiaN-4

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • TalkhiaN-4

    TalkhiaN-4

    Kya tujhko sunaauN haal-e-dil apna
    Kya tujhko dikhaauN apni kashmlash ka jahaaN
    Tu abhi is des say nawaaqif hai meray dost
    Toonay daikha hi nahi abhi koi maNzar tanhaa

    Toonay piya hi nahi jo ghum-e-ishq-o-jahaaN ka sum
    Tu samjhayga phir mera tarpana kya?
    Toonay to guzaari hai apni umr mefiloN kay saayoN maiN
    Ho kay bayparwaa ya reh kay khaufzadaa
    Aur daikhee jo har charay maiN aisi hi baigairat ki jhalak
    Toonay isay parakhany ki kabhi koshis hi na ki

    Aaj tu aayaa hai meri duniya maiN
    Aur khara hai uljha-uljha
    KhwaaboN kay abr say darta darta
    Ahsaas kay sooraj say sehma-sehma
    Tak raha hai meri wusat-e-tanhai ko beyaqeeni say
    Daikh raha hooN maiN teri aaNkhoN maiN hairat kay nishaaN

    Kya tujhko sunaauN haal-e-dil apna
    Kya tujhko dikhaauN apni kasmkash ka jahaaN?

    -----------------------------------------
    TalkhiaN- Bitterness, Sum- poison, Abr- cloud,Wusat-e-tanhai-- expanse of loniness

  • #2
    Re: TalkhiaN-4

    Tak raha hai meri wusat-e-tanhai ko beyaqeeni say
    Daikh raha hooN maiN teri aaNkhoN maiN hairat kay nishaaN

    Wah bohat khoob, once again it was great to read Talkhian, your Talkhian series has touched my heart so deeply that I cant describe the feelings of my heart, I must say that you have very powerful selection of selecting right word for the right emotion. Keep sharing, khush rahyeh :)
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: TalkhiaN-4

      waooooooooooooooooooo

      beautiful poetry speachless
      I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

      Comment


      • #4
        Re: TalkhiaN-4

        I am very thankful for the beautiful words of appreciation.
        Regards
        brijinder

        Comment

        Working...
        X