Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai

    Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai
    Teray meray ishq ki baat ab faqt kahani lagti hai

    Ban ke lahu takh/leeq mirii kii ragh ragh men woh behti hai
    Larki jo naadaan kabhii ,kabhii bahut siyaanii lagti ha

    Eik ahad par maiN ne guzaarii tanha apnii umr tamaam
    Aaj koyii soche to shaayad bahut hairaanii lagti hai

    Kehnay ko gar na ho kuch to daal do paychedgi kay khum
    Jo baat samajh na aayay yahaaN woh baat ruhaani lagti hai

    Us se baRh kar bhi haseen hoNgay "sagar" magar
    Achi itni phir kyuN mujhko woh mar jaani lagti hai
    --------------------

  • #2
    Re: Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai

    acha likha hae magar kahin kahin kuch kami si lagi

    hijer ke sabhi pahlo,ranjison ke sare dukh.;;;
    ketne ache lagte hain chaton ke sare dukh;;;;;

    Comment


    • #3
      Re: Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai

      I shall be grateful if you are more precise n tell me what is the "kami" so that I can correct it or can try it.

      Comment


      • #4
        Re: Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai

        Originally posted by Brijinder View Post
        Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai
        Teray meray ishq ki baat ab faqt kahani lagti hai

        Ban ke lahu takh/leeq mirii kii ragh ragh men woh behti hai
        Larki jo naadaan kabhii ,kabhii bahut siyaanii lagti ha

        Eik ahad par maiN ne guzaarii tanha apnii umr tamaam
        Aaj koyii soche to shaayad bahut hairaanii lagti hai

        Kehnay ko gar na ho kuch to daal do paychedgi kay khum
        Jo baat samajh na aayay yahaaN woh baat ruhaani lagti hai

        Us se baRh kar bhi haseen hoNgay "sagar" magar
        Achi itni phir kyuN mujhko woh mar jaani lagti hai
        --------------------


        Waqt Ki aankh se deykho tu yeh baat Puraani lagti hai
        Teray meray Piyar ki baatein ab aik kahani lagti hai

        Meray Dil ki ragh ragh mein wo lahoo ban k behti hai
        Larki Jo Nadaan kabhi aur kabhi Siyaani lagti hai

        Ehad-e wafa per mein nay guzara jeewan apna tanha tumaamm
        Hairan Diloun ko shayd yeh soach deewanai lagti hai

        kehnay Ko gar kuch na paaO daal do baat mein paich O Khum
        jo baat yAAN samjh na aa-ay wo sab ko Rohaani lagti hai

        Oss se bhar kar houn gay bey shak Duniya mein haseen hazar
        *Sagar* laikin mujh ko sab seBhar kar apni Raani lagti hai



        Aap ki poetry ko kuch sahi karnay ki Koshish ki hai
        omeed hai k Bura nahai manaein gay
        go k mein khud b kuch nahi magar mujhay laga k yeh shayd iss tarah aap k Khoobsoorat Ehsassat Ko Numayan kar k paish karay ....Na cheez

        GUL(Huma)

        Comment


        • #5
          Re: Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai

          Gul saheba,Thanks a lot for trying to give better shape to this ghazal.The outcome is really good but I think something more could be done to:
          kehnay Ko gar kuch na paaO daal do baat mein paich O Khum
          jo baat yAAN samjh na aa-ay wo sab ko Rohaani lagti hai

          Oss se bhar kar houn gay bey shak Duniya mein haseen hazar
          *Sagar* laikin mujh ko sab seBhar kar apni Raani lagti hai

          In the last she'r I wanted to keep the word "marjaani" in any case as it is the reason for the whole ghazal.Can u do something about that?
          Thanks once again
          Regards
          brijinder

          Comment


          • #6
            Re: Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai

            ache hai

            Comment


            • #7
              Re: Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai

              thanx a lot

              Comment


              • #8
                Re: Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai

                hmmm

                Comment


                • #9
                  Re: Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai

                  Thanks a lot for the kind words of appreciation.
                  regards
                  brijinder"Sagar"

                  Comment

                  Working...
                  X