Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Saughaat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Saughaat

    Saughaat

    Jis tamnna ko jiya tha tanhaioN main kai baar
    Us ahsaas ki tabeer mili aaj mujhay gha_ir ban kar

    Woh dulhan to bani baithee thi sakhioN main
    Woh baraat magar ghar say meray na aayee thi
    Udhar who ho rahi thi kisi ki umr bhar kay liyay
    YahaaN yukhbasta waqt tha aur meri tanhaai thi

    Dost na ajnabi bus ab khalaa main latka sa ik rishta hai
    Pehchaan kar bhi na pehchaanti hui aankhaiN mera muqaddar hai

    Jin khwaaboN pay pali hai meray takhyyul ki umr
    Nazar karta hoon who sub meri dost tujhay
    Banaa kay mahbbat ki main aakhri saughat



    __________________
    Hindu da_ir jaayay,ka'aba jagah-i-musalmaaN hai
    MaiN to faqt insaaN hooN,meri jagah kahaN hai?

  • #2
    Re: Saughaat

    hmmm Khoob :rose
    Zindagi Thak Gaye ..!!

    Comment


    • #3
      Re: Saughaat

      Shukriya,meharbaani
      Brijinder"Sagar"

      Comment


      • #4
        Re: Saughaat

        Brijinder bohat achha aur khoobsurat likha hai, daad qabool kijiye.
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Saughaat

          Jin khwaaboN pay pali hai meray takhyyul ki umr
          Nazar karta hoon who sub meri dost tujhay
          Banaa kay mahbbat ki main aakhri saughat



          Buhut achey Birijinder jee :thmbup:
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Saughaat

            Saima,Masood
            Thanx for your warm words of appreciation.This is initself a reward of a poem if it stays with the reader for some time.And if it becomes a part of reader's growth n crytalises their covictions,then it is its highest reward.
            Thanx once again
            brijinder"sagar"

            Comment


            • #7
              Re: Saughaat

              vahhhhh....
              wohi gahraai....wohi izhaar ki aazaadi....
              bohat achhe saaheb...
              bohat khoob

              Comment


              • #8
                Re: Saughaat

                Muafi chauNga ki itnay khuloos say likha aapnay aur mujhsay nazaraNdaaz ho gaya.

                Bahut bahut shukriya,meharbaani.
                Brijinder"Sagar"

                Comment

                Working...
                X