Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

    sathiyo!
    aadaab
    apni ek ghazal lekar hazir hooN, ummeed hay pasand aeygii
    agar na aey to bata dijiye
    :lol
    Attached Files

  • #2
    Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

    :)
    Attached Files
    Last edited by najma; 7 May 2005, 16:38.

    Comment


    • #3
      Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

      Originally posted by najma
      sathiyo!
      aadaab
      apni ek ghazal lekar hazir hooN, ummeed hay pasand aeygii
      agar na aey to bata dijiye
      :lol

      Assalaam o alekum,


      Najma baaaaji aapki yeh ghazal aur ghazloon ki tareh behud umdeh aur dilkash hai humaari jaanib se dili daad qabool karien khush rahien
      :tang: RISK IS MY BUSINESS

      DANGER IS MY GAME

      DONT PLAY WITH ME
      BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

      Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

      Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

      Comment


      • #4
        Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

        shukriya khurram
        lekin tum ne abhi poori ghazal nahi dekhii thii
        ab dekho, main ne posting me kya gar bar ki hay
        :embarasse
        ab ise tum log hi sambhalo
        :embarasse
        pasandeedgii ka shukriya
        :)

        Comment


        • #5
          Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

          ban key mahwar jo meri zeest sey wabasta tha
          apni chahat ka yaqin us ko dila bhi na saki
          is tarha sheesha-e-dil toot key bikhraa hai mera
          main ney chaha keh uthaa loon, to utha bhi na saki
          janey kn lafzon mein tajdeed-e-muhabbat ki thi
          us ki takmeel kabhi saamney aa bhi na saki
          merey ashaar ki takhleeq ka mojib tha wohi
          jab woh aaya to ghazal usko suna bhi na saki



          Najma aap ki yeh ghazal mujhey bohat pasand aai hai. Bohat khoobsurat andaaz mein aap ney tasweer kheenchi hai aur alfaaz ka jama pehnaya hai. Excellent. Keep it up :thmbup: :thmbup:
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

            Originally posted by Masood
            ban key mahwar jo meri zeest sey wabasta tha
            apni chahat ka yaqin us ko dila bhi na saki
            is tarha sheesha-e-dil toot key bikhraa hai mera
            main ney chaha keh uthaa loon, to utha bhi na saki
            janey kn lafzon mein tajdeed-e-muhabbat ki thi
            us ki takmeel kabhi saamney aa bhi na saki
            merey ashaar ki takhleeq ka mojib tha wohi
            jab woh aaya to ghazal usko suna bhi na saki



            Najma aap ki yeh ghazal mujhey bohat pasand aai hai. Bohat khoobsurat andaaz mein aap ney tasweer kheenchi hai aur alfaaz ka jama pehnaya hai. Excellent. Keep it up :thmbup: :thmbup:



            bohat shukriya masood sahib!
            is pazeeraaee ke liye maiN be-had mammnoon hooN
            nawazish
            :)

            Comment


            • #7
              Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

              Bohat acchi likhi hay :)
              http://www.genericviagra2015shop.com/

              Comment


              • #8
                Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

                bohat shukriya handsome!
                khush rahiye
                :)

                Comment


                • #9
                  Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

                  woww najmaa
                  bohat he zabardast likhe hai aap nay
                  really mujhy bohaaaaaaaaat achii lage
                  thankx 4 sharing :rose

                  Comment


                  • #10
                    Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

                    Originally posted by aik_lerki
                    woww najmaa
                    bohat he zabardast likhe hai aap nay
                    really mujhy bohaaaaaaaaat achii lage
                    thankx 4 sharing :rose

                    laRkeeeeeeee jaaaaaan
                    tum ne khush kardiya.
                    baRa acha laga ke tumko meri kawish pasad aaee aur wo bhi itneeeeeeee pasannnnnnnnnnd
                    khush raho
                    thanx
                    :)

                    Comment


                    • #11
                      Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

                      Najma Saahiba aap ka khubsoorat klaam pehlay bhi kai bar parha hey mugar yeh wali ghazal to baazi le gai:rose :rose :rose ...............Well done!!!!! Allah karay aap humesha khush rahein aur aap k qalam se aisee hi achi achi nazmein, ghazlein janum leti rahein.Ameeeen

                      Comment


                      • #12
                        Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

                        Originally posted by Muskan
                        Najma Saahiba aap ka khubsoorat klaam pehlay bhi kai bar parha hey mugar yeh wali ghazal to baazi le gai:rose :rose :rose ...............Well done!!!!! Allah karay aap humesha khush rahein aur aap k qalam se aisee hi achi achi nazmein, ghazlein janum leti rahein.Ameeeen
                        dear muskan!
                        tumharii is khoobsoorat aur bharpuur hausla afzaaee ke liye be-had mamnoon hooN.
                        sada khuish-o-khurram raho
                        :)

                        Comment


                        • #13
                          Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

                          bahut bahut zabardast nazm hai najma khala very nice

                          Comment


                          • #14
                            Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

                            aray bhanjii jeeee
                            pasand karne ka bohat shukriya
                            lekin ye bhanjii kahaan se aagaeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee?:eye:

                            Comment


                            • #15
                              Re: ek ghazal=bhula bhi na sakii=bu najma ansar najma

                              :) Najma ji yeh ghazal aur is ka aik aik shair rooh ko choo gaya hay.is say ziyada tareef kiya karu'n kay aap likhti hai'n aur aisa likhti hai'n kay mujhay to yeh bhi samajh nahi'n aa'ta kay itnay khubsurat kalaam ki taareef mai'n alfaaz kiya istimaal karu'n?

                              Aap ki Fan Haya (garmiyo'n mai'n is Haya Fan ko Pankha samajhiye ga)
                              :roseENIGMA:rose

                              Comment

                              Working...
                              X