Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

    salaamaat,
    ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Kahir hoNge :)

    apne chand qit'aaat aapke zauq kii nazar kartaa huN...ummed hai k shaayad aapke aalaa zarf ko naa-gawaar na guzre. aapkii aaraa o tanqeed o tanqees kaa shiddat se intizaar rahegaa. Hasb-e-ma'mool Khowaandgii ke liye peshgii shukria adaa kar rahaa huN.

    to, qita'aat mulaaHizah farmaaiye:

    faqat Khaak_nashiiN,
    _______Sheroo :)


    1.
    gungunaa kar Haafize meN she'r bhar letaa huN maiN
    ya'nii kuchh phusphuse ash'aar kah letaa huN maiN
    is taraH likkhii huii tuk_bandiyoN ko jab yahaN
    kah rahe haiN shaa'irii to naaz kar letaa huN maiN :)

    2.
    dil se tasavvuraat kii lazzat na chhiiniiye
    jalvoN kii pur suroor lataafat na chhiiniiye
    rahtaa huN maHv apne KhayaaloN meN har ghaRii
    mujh se taKhaiyulaat kii daulat na chhiiniiye


    3.
    ro ke GhairoN ko haNsaa saktaa huN maiN
    haNs ke apnoN ko rulaa saktaa huN maiN
    'aql meN go hai mire deevaanaapan
    kaam kii baateN sunaa saktaa huN maiN

    4.
    mausam bhii, chaman bhii, kaliyaan bhii.....kaalii sii gahTaayeN, shaam bhii ho!
    seene meN taRaptii yaad bhii ho.....hoNToN pe tumhaaraa naam bhii ho!
    aise meN tumhaarii gar mujh par.....paR jaaye nigaah-e-mast o HasiiN
    aaNkhoN kii hamaarii pyaas bujhe.....dukh-dard miTe, aaraam bhii ho!

    5.
    terii yaad meN kaTii to kaTii is taraH shab-e-Gham
    kabhii shamm'a tilmilaaii, kabhii kaaNp kar huii kam
    kabhii qatre raushnee ke vahaaN ashk ban ke Tapke
    kabhii aah bhar ke roye, kabhii thaam kar jigar ham! :(

    Last edited by SherAli; 5 December 2008, 16:02.

    Fall view from inside my car
    near my work place :)

  • #2
    Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

    Waah bahot khoob janab bahot achha likha hai
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

      Originally posted by WASI ANJUM View Post
      Waah bahot khoob janab bahot achha likha hai
      aapkaa be_had shukria k aapne pasand farmaayaa...shukria :)

      Fall view from inside my car
      near my work place :)

      Comment


      • #4
        Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

        v.v,nice janaab
        Tum Agar Bhool bhi jaao tu Ye Haq hay Tumko
        Meri Baat Or hay Mainay Tu Muhubbat ki hay ... !

        Comment


        • #5
          Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

          Originally posted by Ehsaas786 View Post
          v.v,nice janaab
          AHsaas saHiba aapkaa maiN shukr-guzaar huN k aapne merii adnaa sii kaaviishaat ko saraaha...thank you!

          Fall view from inside my car
          near my work place :)

          Comment


          • #6
            Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

            Originally posted by SherAli View Post
            salaamaat,
            ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Kahir hoNge :)

            apne chand qit'aaat aapke zauq kii nazar kartaa huN...ummed hai k shaayad aapke aalaa zarf ko naa-gawaar na guzre. aapkii aaraa o tanqeed o tanqees kaa shiddat se intizaar rahegaa. Hasb-e-ma'mool Khowaandgii ke liye peshgii shukria adaa kar rahaa huN.

            to, qita'aat mulaaHizah farmaaiye:

            faqat Khaak_nashiiN,
            _______Sheroo :)


            1.
            gungunaa kar Haafize meN she'r bhar letaa huN maiN
            ya'nii kuchh phusphuse ash'aar kah letaa huN maiN
            is taraH likkhii huii tuk_bandiyoN ko jab yahaN
            kah rahe haiN shaa'irii to naaz kar letaa huN maiN :)


            yani kamal hai sahib

            aap sab ko raggaR gay na

            Kher ...aap Ki TUkk-Bandi ..achi lagi
            magar naaz mutt farma-eyya kion k

            Jo Bhe NAAZ walay hein
            NA-RAAz ho jaein gay !!

            Comment


            • #7
              Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

              Originally posted by SherAli View Post

              2.
              dil se tasavvuraat kii lazzat na chhiiniiye
              jalvoN kii pur suroor lataafat na chhiiniiye
              rahtaa huN maHv apne KhayaaloN meN har ghaRii
              mujh se taKhaiyulaat kii daulat na chhiiniiye


              Aap panay Takhayulaat ko Bank mein jama karwa dijay :)

              anyway ..takhyul hee tu hota hai jo sirf hamara hai ..baqi............
              tu Alfaaz b nahi apnay janab!

              Comment


              • #8
                Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

                Originally posted by SherAli View Post
                salaamaat,

                3.
                ro ke GhairoN ko haNsaa saktaa huN maiN
                haNs ke apnoN ko rulaa saktaa huN maiN
                'aql meN go hai mire deevaanaapan
                kaam kii baateN sunaa saktaa huN maiN

                Tasleemat janaab

                aap apnoun ko kion rulatay hein ..kia aap ki hansii !????? 372-shock

                :lahoul





                :embarasse

                Comment


                • #9
                  Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

                  Originally posted by SherAli View Post

                  4.
                  mausam bhii, chaman bhii, kaliyaan bhii.....kaalii sii gahTaayeN, shaam bhii ho!
                  seene meN taRaptii yaad bhii ho.....hoNToN pe tumhaaraa naam bhii ho!
                  aise meN tumhaarii gar mujh par.....paR jaaye nigaah-e-mast o HasiiN
                  aaNkhoN kii hamaarii pyaas bujhe.....dukh-dard miTe, aaraam bhii ho!

                  Buhat hee lateef baat
                  magar sher mein itnay DOTS..................

                  kia wazan ko balance karnay k liyay hein


                  :) .......................:thmbup:

                  Comment


                  • #10
                    Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

                    Originally posted by Gul View Post
                    yani kamal hai sahib

                    aap sab ko raggaR gay na

                    Kher ...aap Ki TUkk-Bandi ..achi lagi
                    magar naaz mutt farma-eyya kion k

                    Jo Bhe NAAZ walay hein
                    NA-RAAz ho jaein gay !!
                    shukria Gul saaHiba aapkaa k aapne tuk-bandii ko bhii saraahaa...bajaa farmaayaa naaz uThaane waale nahoN to naaz karne kaa kia faaida...hahaha

                    Fall view from inside my car
                    near my work place :)

                    Comment


                    • #11
                      Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

                      Originally posted by SherAli View Post


                      5.
                      terii yaad meN kaTii to kaTii is taraH shab-e-Gham
                      kabhii shamm'a tilmilaaii, kabhii kaaNp kar huii kam
                      kabhii qatre raushnee ke vahaaN ashk ban ke Tapke
                      kabhii aah bhar ke roye, kabhii thaam kar jigar ham! :(

                      WOW ...Soooooooooooooooooooooooooooperb ..SherAli Sahib
                      Buhat acha likha yeh Qataa .............!

                      Pehla sher tu aik dam Zabardast MashaAlalh
                      aur muakaml ...Tu aur b acha ...!

                      Yaqeen maneiyay sabhi qata`at achay hein
                      magar last walay mein alfaz aur ehsassaat ka jo milaap hai
                      aik dum khoobsoorat mashaAllah!

                      Sahre kartay rahiyay issi se shayd sachi mein ..
                      mein b kuch seekh jaooN ..!

                      Comment


                      • #12
                        Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

                        Originally posted by Gul View Post
                        WOW ...Soooooooooooooooooooooooooooperb ..SherAli Sahib
                        Buhat acha likha yeh Qataa .............!

                        Pehla sher tu aik dam Zabardast MashaAlalh
                        aur muakaml ...Tu aur b acha ...!

                        Yaqeen maneiyay sabhi qata`at achay hein
                        magar last walay mein alfaz aur ehsassaat ka jo milaap hai
                        aik dum khoobsoorat mashaAllah!

                        Sahre kartay rahiyay issi se shayd sachi mein ..
                        mein b kuch seekh jaooN ..!
                        zarra-navaazii ke liye mutashakkir aur mamnoon huN...are nahiiN Gul saaHiba, maiN to bas jo zehn emN aayaa likh detaa huN aur phir yeh to aapkii suKhan fehmii hai k zarre ko aaftaab banaa diyaa...maiN ne aapko bhii paRhaa hai aur masha Allah aap bahooot achchhaa likhtii haiN...

                        ...ham sab ek dusre se hii seekhte haiN aur hameN mavaaq'e milte haiN k ham apne kalaam ko behtar se behtar kar sakeN aur maiN ba_Khuda bahooot pasand kartaa huN agar koii mujhe merii kamiyoN aur KhaamiyoN ko bhii batlaaye...shukria k aapne apna waqt diyaa :rose

                        Fall view from inside my car
                        near my work place :)

                        Comment


                        • #13
                          Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

                          Originally posted by SherAli View Post
                          zarra-navaazii ke liye mutashakkir aur mamnoon huN...are nahiiN Gul saaHiba, maiN to bas jo zehn emN aayaa likh detaa huN aur phir yeh to aapkii suKhan fehmii hai k zarre ko aaftaab banaa diyaa...maiN ne aapko bhii paRhaa hai aur masha Allah aap bahooot achchhaa likhtii haiN...

                          ...ham sab ek dusre se hii seekhte haiN aur hameN mavaaq'e milte haiN k ham apne kalaam ko behtar se behtar kar sakeN aur maiN ba_Khuda bahooot pasand kartaa huN agar koii mujhe merii kamiyoN aur KhaamiyoN ko bhii batlaaye...shukria k aapne apna waqt diyaa :rose
                          haan jee Bila shuba ...meri kamiyan mujhay tu nahi na dikaaein dein gee
                          I mean hamein hamari kami nahi dikaahi deyti ....

                          iss liayay Hamein dushmanoun mein rehna chahiyay :)
                          ta k hum apni islaah kar sakein
                          magar sach manein
                          aap k last sher ....
                          wazan k etebaar se aik dum Khoobsoorat hein :)

                          Comment


                          • #14
                            Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

                            Originally posted by Gul View Post
                            haan jee Bila shuba ...meri kamiyan mujhay tu nahi na dikaaein dein gee
                            I mean hamein hamari kami nahi dikaahi deyti ....

                            iss liayay Hamein dushmanoun mein rehna chahiyay :)
                            ta k hum apni islaah kar sakein
                            magar sach manein
                            aap k last sher ....
                            wazan k etebaar se aik dum Khoobsoorat hein :)
                            aapne ek kaRvi magar sach baat bahot Haseen andaaz meN kah di. yaqeenan, hameN apnii islaaH karnii chaahiye bhele vo suKhan goyii kii ho yaa iKhlaaqiyaat kii...:)

                            aapne farmaayaa k meraa aaKhiri band "vazan" ke aitabaar se Theek hai to ab meraa agla sawaal hai k kia digar band Khaarij-az-bahr haiN? please mujhe bataaiyegaa :) shukria :rose

                            Fall view from inside my car
                            near my work place :)

                            Comment


                            • #15
                              Re: mere chand qita'aat aapke zauq kii nazar

                              Originally posted by SherAli View Post
                              aapne ek kaRvi magar sach baat bahot Haseen andaaz meN kah di. yaqeenan, hameN apnii islaaH karnii chaahiye bhele vo suKhan goyii kii ho yaa iKhlaaqiyaat kii...:)

                              aapne farmaayaa k meraa aaKhiri band "vazan" ke aitabaar se Theek hai to ab meraa agla sawaal hai k kia digar band Khaarij-az-bahr haiN? please mujhe bataaiyegaa :) shukria :rose

                              Buhat dinoun baad yeh msg parha...:)

                              Sher Ali aap hein kahan pehlay tu yeh bata-eiN
                              as aap Ki Bina application chutti ...hai na..
                              Ziyada din ghalati bear nahi ki ja-ay gee haan jee!!
                              Jab onlien houn gay tu baat hoti hai inshaAllah!:salam:

                              Comment

                              Working...
                              X