salaam saathiyo
aapkii meHfil meN maiN yeh apnii pahlii Ghazal post kar rahaa huuN is ummeed-e-qawii ke saath k aapkii taba-e-naazuk par bar-e-giraaN na guzregii. shukria.
aapkii aaraa aur tanqees o tanqeed kaa shiddat se intizaar rahegaa, shukria.
_______Sheroo
koii raah-e-raast paaye Allah kaa ghar dekh kar
lauT aataa hai koii Ka'be meN patthar dekh kar
kaun se muNh se karuuN inkaar US ke fazl kaa
US kii rai'Hmat ko mirii 'asyaaN se baRh kar, dekh kar!
kiuN na dil be_taab ho qadmoN meN girne ke liye
aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar
kiuN na Hikmat DhoonDhne kii aur bhii Khowaahish karuuN
gardish-e-aflaak aur dunyaa ka chakkar dekh kar
josh par aayii mire Khaaliq kii rai'Hmat Hashr meN
jhuk gayaa jab sar miraa, 'asyaaN ka daftar dekh kar
is taraf baRhtii hai unkii yaad, lekin us taraf
unkii Ghaflat baRh rahii hai mujhko musztar dekh kar
vaar karne meN tumheN kia der hai, dekhnaa!
Khud ba_Khud sar Kham huaa jaataa hai Khanjar dekh kar
"AAJ" ke israar par vo haNs ke "KAL" kahne lage
jhaaNk kar aaNkhoN meN apnaa 'aks andar dekh kar
gir ke pachhtaaii hai chilman yaar ke ruKhsaar se
unko HairaaN dekh kar, maHfil ko shushdar dekh kar
phir fidaa hone ko dil be_saaKhta lalchaaye hai
tujhko, ai jaan-e-jahaaN, aape se baahar dekh kar
aaNdhiyaaN bhii ab to aatii haiN mujhii ko DhoonDhne
bijliyaaN, kam_baKht!, girtii haiN mira ghar dekh kar
qai'hr hai dunyaa meN jinke zohd_o_taqwaa kaa Ghuroor
bujh gayaa dil kiina-e-zaahid ko aksar dekh kar
dai'hr meN hai ik vohii insaaN adab kaa mustaHiq
Khush jo hotaa hai kisii ko Khud se behtar dekh kar
surKhii-e-ruKhsaar ne kuchh Husn afzooN kar diyaa
chai'hre bujh jaate haiN, "JaanaaN!", aapkaa shar dekh kar

Comment