Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar...merii Ghazal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar...merii Ghazal

    salaam saathiyo

    aapkii meHfil meN maiN yeh apnii pahlii Ghazal post kar rahaa huuN is ummeed-e-qawii ke saath k aapkii taba-e-naazuk par bar-e-giraaN na guzregii. shukria.

    aapkii aaraa aur tanqees o tanqeed kaa shiddat se intizaar rahegaa, shukria.

    _______Sheroo

    koii raah-e-raast paaye Allah kaa ghar dekh kar
    lauT aataa hai koii Ka'be meN patthar dekh kar

    kaun se muNh se karuuN inkaar US ke fazl kaa
    US kii rai'Hmat ko mirii 'asyaaN se baRh kar, dekh kar!

    kiuN na dil be_taab ho qadmoN meN girne ke liye
    aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar

    kiuN na Hikmat DhoonDhne kii aur bhii Khowaahish karuuN
    gardish-e-aflaak aur dunyaa ka chakkar dekh kar

    josh par aayii mire Khaaliq kii rai'Hmat Hashr meN
    jhuk gayaa jab sar miraa, 'asyaaN ka daftar dekh kar

    is taraf baRhtii hai unkii yaad, lekin us taraf
    unkii Ghaflat baRh rahii hai mujhko musztar dekh kar

    vaar karne meN tumheN kia der hai, dekhnaa!
    Khud ba_Khud sar Kham huaa jaataa hai Khanjar dekh kar

    "AAJ" ke israar par vo haNs ke "KAL" kahne lage
    jhaaNk kar aaNkhoN meN apnaa 'aks andar dekh kar

    gir ke pachhtaaii hai chilman yaar ke ruKhsaar se
    unko HairaaN dekh kar, maHfil ko shushdar dekh kar

    phir fidaa hone ko dil be_saaKhta lalchaaye hai
    tujhko, ai jaan-e-jahaaN, aape se baahar dekh kar

    aaNdhiyaaN bhii ab to aatii haiN mujhii ko DhoonDhne
    bijliyaaN, kam_baKht!, girtii haiN mira ghar dekh kar

    qai'hr hai dunyaa meN jinke zohd_o_taqwaa kaa Ghuroor
    bujh gayaa dil kiina-e-zaahid ko aksar dekh kar

    dai'hr meN hai ik vohii insaaN adab kaa mustaHiq
    Khush jo hotaa hai kisii ko Khud se behtar dekh kar

    surKhii-e-ruKhsaar ne kuchh Husn afzooN kar diyaa
    chai'hre bujh jaate haiN, "JaanaaN!", aapkaa shar dekh kar

    Fall view from inside my car
    near my work place :)

  • #2
    Re: aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar...merii Ghazal

    As Ghazal key last Bun sey phley app key duno masrai Vazan sey Kharig hi just ak achi Kosish tu kaha ja sakta hi as kai sewa kuch nahi Umeed karte hon app mashk-e- Sukhan jare o sari Rakhin gi or ghazal key wazan par pore Tawaja dain gi ... as key liyai app Mashoor shora ka Kalaam pharin .... insha ALLAH kafe Kuch seekhnai ko milai ga

    Comment

    • #3
      Re: aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar...merii Ghazal

      Bahot khoob janab bahot khoobsurat Gazal likhi hai aap ne
      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar...merii Ghazal

        ha!! buht khob bro khush raho
        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

        :pr:

        Comment

        • #5
          Re: aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar...merii Ghazal

          bahot achhi gazal likhi hai

          Comment

          • #6
            Re: aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar...merii Ghazal

            Originally posted by Pretty_doll View Post
            As Ghazal key last Bun sey phley app key duno masrai Vazan sey Kharig hi just ak achi Kosish tu kaha ja sakta hi as kai sewa kuch nahi Umeed karte hon app mashk-e- Sukhan jare o sari Rakhin gi or ghazal key wazan par pore Tawaja dain gi ... as key liyai app Mashoor shora ka Kalaam pharin .... insha ALLAH kafe Kuch seekhnai ko milai ga
            pretty jee bohat achay remarks diyain hain ap ne
            kaya he acha hota agar app last k ashaar ki taseeh bhi kar deteen
            tu sehar jee ki ghazal ki noke palak bhi sawar jati or un ko ake ustad bhi mill jata
            kyun k poetry k hawalay say ap ka exp kafi hai ,
            ye tu bohat he achi baat hai k iss fourm may poetry ko inti achi tarhan samjhany walay majood hain .

            Comment

            • #7

              salaam moHtaramah,

              apnii Ghazal par aapke garaaN_qadr ta'assuraat paRh kar bahot Khushii maHsoos huii aur maiN aapkaa shukria adaa kartaa huN k aap ne na sirf paRhaa bal k apnii besh-bahaa aaraa bhii ba_ham pahoNchaaii. aapkii zaat meN mujhe ek suKhan shinaas nazar aayaa. ummeed hai aap aise hii insha Allah apnii qeemtii islaaH se navaaztii raheNgii aur mujhe shukria adaa karne kaa mauq'a faraaham kartii rahengii.

              aap agar merii aGhlaat kii nishaan dehii farmaa kar uskii islaaH kar deNgii to ai'n navaazish hogii :) aapkii bataayii huii hidaayaat par insha Allah 'amal kartaa rahuuNgaa. :)

              inshaa Allah, koshish karuuNgaa :) baqaul Hasrat Mohaanii ke:

              hai mashq-e-suKhan jaarii, chakki kii mashaqqat bhii
              ik turfa tamaasha hai, "Hasrat" kii tabii'at bhii

              :)

              Fall view from inside my car
              near my work place :)

              Comment

              • #8
                Re: aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar...merii Ghazal

                Originally posted by WASI ANJUM View Post
                Bahot khoob janab bahot khoobsurat Gazal likhi hai aap ne
                daad dehii ke liye banda mamnoon hai teh-e-dil se. :)

                Fall view from inside my car
                near my work place :)

                Comment

                • #9
                  Re: aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar...merii Ghazal

                  Originally posted by *Hala* View Post
                  ha!! buht khob bro khush raho
                  bahot bahot shukria paseeraaii ke liye bahna :)

                  Fall view from inside my car
                  near my work place :)

                  Comment

                  • #10
                    Re: aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar...merii Ghazal

                    Originally posted by J.KHAN View Post
                    bahot achhi gazal likhi hai
                    Khan saaHib aapkaa be_Had shukria k aap ne Ghazal kii pazeeraaii kii...:)

                    Fall view from inside my car
                    near my work place :)

                    Comment

                    • #11
                      Re: aapkii nazr-e-'inaayat, banda_parvar!, dekh kar...merii Ghazal

                      Originally posted by shabz View Post
                      pretty jee bohat achay remarks diyain hain ap ne
                      kaya he acha hota agar app last k ashaar ki taseeh bhi kar deteen
                      tu sehar jee ki ghazal ki noke palak bhi sawar jati or un ko ake ustad bhi mill jata
                      kyun k poetry k hawalay say ap ka exp kafi hai ,
                      ye tu bohat he achi baat hai k iss fourm may poetry ko inti achi tarhan samjhany walay majood hain .

                      moHtaramah Shabz saaHiba,
                      salaam, ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge. aapkaa maiN be_Had mamnoon huN k aapne apnaa ta'assur bayaan farmaayaa. ji, aapne durust farmaayaa k agar nishaan-dehii kar deN aur islaaH bhi farma adeN to ai'n navaazish hogii jisse mujeh aur tamaam aHbaab e maHfil ko istifaada hogaa. shukria ek baar phir se aap sabhi kaa :)

                      faqat Kahak nashiiN
                      _______Sheroo :)

                      Fall view from inside my car
                      near my work place :)

                      Comment

                      Working...
                      X