Asslmaoalikum :rose
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Aiy Masjid-e-Qurtuba
Collapse
X
-
Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba
Assalaam o alekum,
:jazak: :jazak: bahooot khoob bahoot hi nafees andaaz mien aapnien yehaan bayaan kiyaa hai apnien dil ki baat ko shukriyaa humse share kernien kaa khush rahein:tang: RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:
Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe
-
Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba
Hayaa tumhari is nazm ko parh kar mujhey Iqbal ki nazm yaad aati hai jo unho ney Masjid-e-Qurtaba key liye likhi thi. Main comparsion nahin karta aur na kar sakta hoon keh Iqbal ka muqaam hasil karna shayid hi kisi doosrey key naseeb mein hoga. Lekin meri masoom dost, main qaeel hoon aur bohat shiddat sey qaeel hoon tumhari soch, andaz-e-biyaan, adaigee aur us tassawwar ka jo aik shaair ki fiker mein hona chahiye. Meri Allah sey dua hai keh tumhein nazr-e-bad sey bachaey aur tumharey qalam mein woh wussat paida kar dey jo main dekh raha hoon keh tum mein mojood hai.
Haya aik farmaeesh karta hai TA, rawaeeti shaairi sey nikal ker apni benaee mein woh wussat pedah karney ki koshish karo jiski ahl-e-Islam ko zaroorat hai. Tum nau-jawan ho, ba'shaoor ho, qalam ki taqat rakhti ho, ab is qalam ko us sachaee per istimaal karo jo waqt ki zaroorat hai. Tum samajhti ho keh main kya kehna chah raha hoon... :) Main tumhen dekhta hoon to mujhey bohat khushi hoti hai. Sada khush raho :rosetumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba
Haya aik farmaeesh karta hai TA, rawaeeti shaairi sey nikal ker apni benaee mein woh wussat pedah karney ki koshish karo jiski ahl-e-Islam ko zaroorat hai. Tum nau-jawan ho, ba'shaoor ho, qalam ki taqat rakhti ho, ab is qalam ko us sachaee per istimaal karo jo waqt ki zaroorat hai. Tum samajhti ho keh main kya kehna chah raha hoon... :) Main tumhen dekhta hoon to mujhey bohat khushi hoti hai. Sada khush raho :rose
Assalam.o.aleikum,,,,,Ta Ji aap ka likha huwa har reply bouhat ghowr say parhti hu'n kay is mai'n bouhat kuch hota hay.:) Ta ji sachi baat yeh hay kay agar may yeh soch kay likhun kay mujhay aaj likhna hay to mai'n nahi likh paau'n gi.mai'n jaan boojh kay kuch bhi nahi'n likh paati.yaqeen kijiye kay agar muskura bhi na rahi hu'n ya koi aisi soorat-e-haal hay k us mai'n likhna to door ki baat koi soch bhi nahi'n aa'sakti but mairay saath aisa hay kay mai'n kisi ki ayaadat kay liye gaai aur baahar banch par baith kar mizaah likh daala kisi page par.ya sonay laiti aur usi waqt aik dam say mind mai'n NAAT kay ashaar aaiye aur mai'n nay woh fowran kaghaz par likhay aur time huwa to fowran forum par bhi likh daali.rotiyaa'n paka rahi hu'n aur aik dam say sowda likhnay waali copy par ghazal likhna shuru kardi k usi waqt mind mai'n aai thi aur choolha band kardiya k roti na jal ja'aiy.mairi koi aik bhi tehreer aisi nahi'n hay jo mai'n nay soch samajh kay likhi ho. mai'n to khud chahti hu'n kay kuch taameeri bhi likhu'n but mai'n kiya karu'n kay jab tak mairay mind mai'n khud ba'khud yeh nahi'n aa'aiy ga lafz kaaghaz par likh hi nahi'n sakti.mai'n apni baat aap ko sahi say nahi'n samjha saki.Sach Ta ji isi liye to mai'n khud ko writer ya poet nahi'n samajhti,,,,aur itni tareef read kar kay hairaan hoti hu'n kay mai'n nay aisa likha hay kiya? jis ki itni qadar ki gaai? but mai'n aap kay is mashwaray par amal zaroor karnay ki koshish karun gi.kiya pata mujh say kuch aisa bhi likha ja'aiy jis ki aaj bouhat zaroorat bhi hay aur jo riwaaiti shaairy kay zimray say hatt kay ho. ham qalam say bhi to jaihaad kar hi saktay hai'n.mairay liye isi tarha dua kijiye ga.khush rahiye Ta ji:)Last edited by hayaa_n; 1 October 2005, 12:59.:roseENIGMA:rose
Comment
-
Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba
Assalam.o.aleikum,,,Yaaram ji aap kis qadar maihnat aur lagan say maira likha huwa kalaam urdu mai'n compose kar rahay hain is k liye dil ki gaihraaiyo'n say shukar guzaar aur dua go hu'n.Bouhat khush rahiye.Aameen:):roseENIGMA:rose
Comment
Comment