Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aiy Masjid-e-Qurtuba

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aiy Masjid-e-Qurtuba

    Asslmaoalikum :rose
    Last edited by Yaaram; 6 October 2005, 22:25.
    :roseENIGMA:rose

  • #2
    Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

    Assalaam o alekum,



    :jazak: :jazak: bahooot khoob bahoot hi nafees andaaz mien aapnien yehaan bayaan kiyaa hai apnien dil ki baat ko shukriyaa humse share kernien kaa khush rahein
    :tang: RISK IS MY BUSINESS

    DANGER IS MY GAME

    DONT PLAY WITH ME
    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

    Comment


    • #3
      Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

      Jazaak Allah.
      Khurrak Shaikh ji itnay howsla afzaa reply kay liye bouhat shukar guzaar hu'n aur khushi bhi hui kay aap nay maira likha read bhi kiya aur aap'ko pasand bhi aaya bouhat shukriya.khush rahiye.
      :roseENIGMA:rose

      Comment


      • #4
        Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

        Hayaa tumhari is nazm ko parh kar mujhey Iqbal ki nazm yaad aati hai jo unho ney Masjid-e-Qurtaba key liye likhi thi. Main comparsion nahin karta aur na kar sakta hoon keh Iqbal ka muqaam hasil karna shayid hi kisi doosrey key naseeb mein hoga. Lekin meri masoom dost, main qaeel hoon aur bohat shiddat sey qaeel hoon tumhari soch, andaz-e-biyaan, adaigee aur us tassawwar ka jo aik shaair ki fiker mein hona chahiye. Meri Allah sey dua hai keh tumhein nazr-e-bad sey bachaey aur tumharey qalam mein woh wussat paida kar dey jo main dekh raha hoon keh tum mein mojood hai.

        Haya aik farmaeesh karta hai TA, rawaeeti shaairi sey nikal ker apni benaee mein woh wussat pedah karney ki koshish karo jiski ahl-e-Islam ko zaroorat hai. Tum nau-jawan ho, ba'shaoor ho, qalam ki taqat rakhti ho, ab is qalam ko us sachaee per istimaal karo jo waqt ki zaroorat hai. Tum samajhti ho keh main kya kehna chah raha hoon... :) Main tumhen dekhta hoon to mujhey bohat khushi hoti hai. Sada khush raho :rose
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

          buhat hee khobsurat

          Comment


          • #6
            Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

            Originally posted by khl
            buhat hee khobsurat
            Assalam.o.aleikum,,,khl ji aap ki tareef ka bouhat shukriya.khush rahiye sadaa.
            :roseENIGMA:rose

            Comment


            • #7
              Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

              Haya aik farmaeesh karta hai TA, rawaeeti shaairi sey nikal ker apni benaee mein woh wussat pedah karney ki koshish karo jiski ahl-e-Islam ko zaroorat hai. Tum nau-jawan ho, ba'shaoor ho, qalam ki taqat rakhti ho, ab is qalam ko us sachaee per istimaal karo jo waqt ki zaroorat hai. Tum samajhti ho keh main kya kehna chah raha hoon... :) Main tumhen dekhta hoon to mujhey bohat khushi hoti hai. Sada khush raho :rose

              Assalam.o.aleikum,,,,,Ta Ji aap ka likha huwa har reply bouhat ghowr say parhti hu'n kay is mai'n bouhat kuch hota hay.:) Ta ji sachi baat yeh hay kay agar may yeh soch kay likhun kay mujhay aaj likhna hay to mai'n nahi likh paau'n gi.mai'n jaan boojh kay kuch bhi nahi'n likh paati.yaqeen kijiye kay agar muskura bhi na rahi hu'n ya koi aisi soorat-e-haal hay k us mai'n likhna to door ki baat koi soch bhi nahi'n aa'sakti but mairay saath aisa hay kay mai'n kisi ki ayaadat kay liye gaai aur baahar banch par baith kar mizaah likh daala kisi page par.ya sonay laiti aur usi waqt aik dam say mind mai'n NAAT kay ashaar aaiye aur mai'n nay woh fowran kaghaz par likhay aur time huwa to fowran forum par bhi likh daali.rotiyaa'n paka rahi hu'n aur aik dam say sowda likhnay waali copy par ghazal likhna shuru kardi k usi waqt mind mai'n aai thi aur choolha band kardiya k roti na jal ja'aiy.mairi koi aik bhi tehreer aisi nahi'n hay jo mai'n nay soch samajh kay likhi ho. mai'n to khud chahti hu'n kay kuch taameeri bhi likhu'n but mai'n kiya karu'n kay jab tak mairay mind mai'n khud ba'khud yeh nahi'n aa'aiy ga lafz kaaghaz par likh hi nahi'n sakti.mai'n apni baat aap ko sahi say nahi'n samjha saki.Sach Ta ji isi liye to mai'n khud ko writer ya poet nahi'n samajhti,,,,aur itni tareef read kar kay hairaan hoti hu'n kay mai'n nay aisa likha hay kiya? jis ki itni qadar ki gaai? but mai'n aap kay is mashwaray par amal zaroor karnay ki koshish karun gi.kiya pata mujh say kuch aisa bhi likha ja'aiy jis ki aaj bouhat zaroorat bhi hay aur jo riwaaiti shaairy kay zimray say hatt kay ho. ham qalam say bhi to jaihaad kar hi saktay hai'n.mairay liye isi tarha dua kijiye ga.khush rahiye Ta ji:)
              Last edited by hayaa_n; 1 October 2005, 12:59.
              :roseENIGMA:rose

              Comment


              • #8
                Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

                Aapki nazm Urdu main............
                Attached Files
                Last edited by Yaaram; 9 November 2005, 19:15.
                Allah

                Comment


                • #9
                  Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

                  page 2
                  Attached Files
                  Last edited by Yaaram; 9 November 2005, 19:20.
                  Allah

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

                    page 3
                    Attached Files
                    Last edited by Yaaram; 9 November 2005, 19:25.
                    Allah

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

                      last page :)
                      Attached Files
                      Last edited by Yaaram; 9 November 2005, 19:30.
                      Allah

                      Comment


                      • #12
                        Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

                        Assalam.o.aleikum,,,Yaaram ji aap kis qadar maihnat aur lagan say maira likha huwa kalaam urdu mai'n compose kar rahay hain is k liye dil ki gaihraaiyo'n say shukar guzaar aur dua go hu'n.Bouhat khush rahiye.Aameen:)
                        :roseENIGMA:rose

                        Comment


                        • #13
                          Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

                          BOHAT ACHCHI NAZM HAI BOHAT AALA:rose

                          Comment


                          • #14
                            Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

                            Samandar ji aap k is umda reply ko read kar k bouhat khushi hui.khush rahiye.:)
                            :roseENIGMA:rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: Aiy Masjid-e-Qurtuba

                              itni lambi chori si nazem bohat acchi hay hayaa khatoon mughy is per bhi shak hay ya pp nay khud likhi kiya??

                              Comment

                              Working...
                              X