Salaam
DostoN kuch arsa pehlay youNhii baiThay baiThay aik qita ho ga'ee thii ... Qita likhnay se pehlay chaahta hooN kuch background day dooN taa.k pata bhii chala k maiN qita k zairay kehna kya chaah raha hooN ...
Iss martaba maiN ne rivaayat ko toRnay kii koShiSh kee hai ... Yeh baat bohot arsay se mere zehen meN ghoom rahii thii k sho'ara hameSha aik hii baat ko baar baar dohraate haiN ... Qita mulahiza ferma'iay:
Jab fikr k falak pe ayaaN hoga her jawaab
Tabdeel phir kerooNga zubaanii ko baar baar
YaaroN suKhan kii maShq ka yeh to naheiN kamaal
Sha'ir suna'ay aik kahaanii ko baar baar
Qassim Mirza :Qassim:

Comment