Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai


    Assalam-o-Alekum,
    aj mein apni first poem es forum per share karnay ja rahi hon........ager es mein koi ghalti ho to pehli poem samajh kar ignore kar di ga......thanx


    Mere Sapnon MEin Koi Anay Laga Hai

    Mere sapnon mein koi anay laga hai
    Meri neendein churanay laga hai
    dhadka kay mere dil ko
    Mujh ko Mujhi se Churanay laga hai
    Yaad ata hai woh har dum Mujhey
    Najanay kiun woh Mujhey Bhulane laga hai
    Woh qasmein, woh waday jo mill kar Kiye thay hum nay
    Bhula kar unhein, Woh Mera dil dukhanay laga hai
    Jo sapnay sajaye thay Palkon per,kar k raiza raiza un ko,
    Woh Meri ankhon mein ansoo sajanay laga hai
    Waqt bhi kabhi duhraye apnay ap ko,
    Hum bhi kabhi yaad ayein un ko
    Dil to mera bas Yahi dua Mangnay laga hai

    Aankhon Mein Raha, Dil Mein Utar Kar Nahi Daikha
    Kashti Kay Musafir Nay Samander Nahi Daikha
    Pathar Mujhey Kehta Hai Mera Chahnay Wala
    Mein Moom hon, Usnay Mujhey Chu Kar Nahi Daikha


    :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

  • #2
    Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

    adaab mohterma ~

    g -- wo to paR kar pata lagg raha hai k ye sutuur bilkul ibtedaa_ii dinoN meiN likhi ga_ii hoN gi. lekin ko_ii bhi likhaari pehle hee dinn se to kamaal.e.fun ko nahi chhuu leta na? pehli seeRi par qadam beharhaal rakhna hee hota hai!

    jeeti rahiyay
    Forgiveness
    Unconditional Love
    Loving Compassion
    Nobility of Thoughts and Actions

    Comment


    • #3
      Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

      jee han acha likha hay ...aapne.......Mazeed likhti raheye.....aur apni soch ko pukhta karien likhne ke muamle main........har cheez ko socha karein......Ghrayi main jaya karen........mazeed rawani aa jaye gi :0
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

        Originally posted by perfectly_created
        adaab mohterma ~

        g -- wo to paR kar pata lagg raha hai k ye sutuur bilkul ibtedaa_ii dinoN meiN likhi ga_ii hoN gi. lekin ko_ii bhi likhaari pehle hee dinn se to kamaal.e.fun ko nahi chhuu leta na? pehli seeRi par qadam beharhaal rakhna hee hota hai!

        jeeti rahiyay
        ufffffffff..........itni asan urdu ...........thodi mushkil urdu use kar layte :cc:
        j/k
        Aankhon Mein Raha, Dil Mein Utar Kar Nahi Daikha
        Kashti Kay Musafir Nay Samander Nahi Daikha
        Pathar Mujhey Kehta Hai Mera Chahnay Wala
        Mein Moom hon, Usnay Mujhey Chu Kar Nahi Daikha


        :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

        Comment


        • #5
          Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

          Originally posted by YAARAM
          jee han acha likha hay ...aapne.......Mazeed likhti raheye.....aur apni soch ko pukhta karien likhne ke muamle main........har cheez ko socha karein......Ghrayi main jaya karen........mazeed rawani aa jaye gi :0
          sochna dunya ka sab se mushkil tareeeeeen kaam hai jo k mein nhi kar sakti......bas jo dil mein ata hai likh dayti hon......gehrai mein jana muje nhi ata :cc:
          Aankhon Mein Raha, Dil Mein Utar Kar Nahi Daikha
          Kashti Kay Musafir Nay Samander Nahi Daikha
          Pathar Mujhey Kehta Hai Mera Chahnay Wala
          Mein Moom hon, Usnay Mujhey Chu Kar Nahi Daikha


          :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

          Comment


          • #6
            Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

            BUhat khoob janab ,, buhat acha likha hai ,, keep writing :)

            khush rahoo .
            .

            Comment


            • #7
              Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

              :) nazam tumhari achi hai khayal bhi acha hai mein sirf itna kahoongi kai thora flow par concentrate karo ....otherwise it is very well written bacha :)

              khush raho :)

              Comment


              • #8
                Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

                hmmm acha likha hai :rose



                jeeti raho khush raho sada abad raho :rose
                Zindagi Thak Gaye ..!!

                Comment


                • #9
                  Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

                  Originally posted by ghurob-e-aftab
                  BUhat khoob janab ,, buhat acha likha hai ,, keep writing :)

                  khush rahoo .
                  thank u :)
                  Aankhon Mein Raha, Dil Mein Utar Kar Nahi Daikha
                  Kashti Kay Musafir Nay Samander Nahi Daikha
                  Pathar Mujhey Kehta Hai Mera Chahnay Wala
                  Mein Moom hon, Usnay Mujhey Chu Kar Nahi Daikha


                  :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

                  Comment


                  • #10
                    Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

                    Originally posted by muskaan
                    :) nazam tumhari achi hai khayal bhi acha hai mein sirf itna kahoongi kai thora flow par concentrate karo ....otherwise it is very well written bacha :)

                    khush raho :)
                    shukria


                    waise mein hameesha hi khush rahti hon ;)
                    Aankhon Mein Raha, Dil Mein Utar Kar Nahi Daikha
                    Kashti Kay Musafir Nay Samander Nahi Daikha
                    Pathar Mujhey Kehta Hai Mera Chahnay Wala
                    Mein Moom hon, Usnay Mujhey Chu Kar Nahi Daikha


                    :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

                      Originally posted by ~khawahish~
                      hmmm acha likha hai :rose



                      jeeti raho khush raho sada abad raho :rose
                      thank u :)
                      Aankhon Mein Raha, Dil Mein Utar Kar Nahi Daikha
                      Kashti Kay Musafir Nay Samander Nahi Daikha
                      Pathar Mujhey Kehta Hai Mera Chahnay Wala
                      Mein Moom hon, Usnay Mujhey Chu Kar Nahi Daikha


                      :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

                        Pari ji ... aap ki pehli kawish nazar se guzri.. shehre-e-wafa se shuru hua safar bohat jald ajnabhi sheher ke ajnabi rasto'n tak pohancha dala... mohabbat ke aaghaz ko mohabbat ke anjaam se eik hi nazam ki chand satoor main beyaan ker dala.. goya daria ko koozay main band kerna chaha.. go ke pehli uraan .. per hoslo'n main jo uthan ... wo buland-i-parwazz ka nishaan... mohabbat ik laq-o-daq sehra hai.. iss main kahee'n nakhlistaan bhi hein aur kayee veeranay bhi.... so nazam ko thora phela lijiye... afkaar barhay ga... mashq jari rakhiye .. ke nikhar barhay ga.. yaqeenan .. aap ki doosri kawish jald hi nazar se guzray gi ... aur pichlay tajrubaat ka nichor bhi ho gi... intazar rahay ga.. abb tak ka Behad Shukria..:rose

                        wafa aur dua ke saath
                        withlove :rose

                        .......JI RAHAY HEIN KAMAL KERTAY HEIN.......

                        Comment


                        • #13
                          Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

                          Originally posted by ChEeNaThEgReAt

                          Assalam-o-Alekum,
                          aj mein apni first poem es forum per share karnay ja rahi hon........ager es mein koi ghalti ho to pehli poem samajh kar ignore kar di ga......thanx




                          Mere Sapnon MEin Koi Anay Laga Hai



                          Mere sapnon mein koi anay laga hai
                          Meri neendein churanay laga hai
                          dhadka kay mere dil ko
                          Mujh ko Mujhi se Churanay laga hai
                          Yaad ata hai woh har dum Mujhey
                          Najanay kiun woh Mujhey Bhulane laga hai
                          Woh qasmein, woh waday jo mill kar Kiye thay hum nay
                          Bhula kar unhein, Woh Mera dil dukhanay laga hai
                          Jo sapnay sajaye thay Palkon per,kar k raiza raiza un ko,
                          Woh Meri ankhon mein ansoo sajanay laga hai
                          Waqt bhi kabhi duhraye apnay ap ko,
                          Hum bhi kabhi yaad ayein un ko
                          Dil to mera bas Yahi dua Mangnay laga hai


                          Khudaya ye kaisa zmana hai aya
                          Kay DADI ko poetry ka shoq honay laga hai :lol

                          Salamzz DADI u ki poem GUD hai pehli pehli kay hisab say dekha jayay to buhat achi hai coz flow lose nahien kiya u nay ... Ab likhti raho aur jo Frrukh Bhai (With Love) nay mshwara diya hai osper amal kero
                          ShAnI :rose

                          Comment


                          • #14
                            Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

                            Jo sapnay sajaye thay Palkon per,kar k raiza raiza un ko,
                            Woh Meri ankhon mein ansoo sajanay laga hai


                            CTGR8 aap ne achi koshish hey, aap boht khoob likh sakti hein bass thori see rahnumai ki zaroorat hey aap ko. Ager aap likhnay k bahd apni kawishein Mohatram QASSIM Saahb ya WITHLOVE JI ko check karwa liya karein (ager in dono ko koi ehtraz nah ho) to aap ki salahiyyatein nikher ker samnay aa sakti hein.

                            Umeed hey k aap yeh silsalah jari rakhein gi.inshaAllah!

                            Comment


                            • #15
                              Re: Mere Sapnon Mein Koi Anay Laga Hai

                              ahaaa cheeena chanda bahut hi zabardast nazam share ki hai keep sharing:clap: :clap: :phool: :phool:

                              Comment

                              Working...
                              X