salam. kuch arsa pehlay aik ghazal parhi thi...bohat achi lagi thi...to usi ki zameen par kuch likhnay ki koshish ki hai....bardasht kijiye ga.
apki aara ka intazar rahay ga...:rose
khush rahiye
Mehroo
~*~ aaja ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~
us say kaho ke aaye, zamanay guzar gaye
hontoN ko muskuraye zamanay guzar gaye
mehroomiyoN ke daur main kuch hasratoN ke khuwab
ankhoN main la basaye zamanay guzar gaye
rukhsat huwi hain gham ki baharain usi ke sath
seenay pay teer khaye zamanay guzar gaye
banjar si ho gaii hai mere dil ki sar zameeN
ankhoN ko khooN bahaye zamanay guzar gaye
kal aainay ko daikh kar khayal sa aaya
chehra mujhe sajaye zamanay guzar gaye
ab roshni kahan say milay gi jahan ko
mujh ko jigar jalaye zamanay guzar gaye
sardi ki shaam main kabhi tarrace pe baith kar
"coffee" tujhe pilaye zamanay guzar gaye
ungli ko munh main daab ke, sharma ke daf'atan
chehra mujhe chupaye zamanay guzar gaye
aaja ke haar maan li meri anaa ne ab
aaja ke sar jhukaye zamanay guzar gaye...
apki aara ka intazar rahay ga...:rose
khush rahiye
Mehroo
Comment