Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ aaja...ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~ aaja...ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

    salam. kuch arsa pehlay aik ghazal parhi thi...bohat achi lagi thi...to usi ki zameen par kuch likhnay ki koshish ki hai....bardasht kijiye ga.

    ~*~ aaja ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

    us say kaho ke aaye, zamanay guzar gaye
    hontoN ko muskuraye zamanay guzar gaye
    mehroomiyoN ke daur main kuch hasratoN ke khuwab
    ankhoN main la basaye zamanay guzar gaye
    rukhsat huwi hain gham ki baharain usi ke sath
    seenay pay teer khaye zamanay guzar gaye
    banjar si ho gaii hai mere dil ki sar zameeN
    ankhoN ko khooN bahaye zamanay guzar gaye
    kal aainay ko daikh kar khayal sa aaya
    chehra mujhe sajaye zamanay guzar gaye
    ab roshni kahan say milay gi jahan ko
    mujh ko jigar jalaye zamanay guzar gaye
    sardi ki shaam main kabhi tarrace pe baith kar
    "coffee" tujhe pilaye zamanay guzar gaye
    ungli ko munh main daab ke, sharma ke daf'atan
    chehra mujhe chupaye zamanay guzar gaye
    aaja ke haar maan li meri anaa ne ab
    aaja ke sar jhukaye zamanay guzar gaye...

    apki aara ka intazar rahay ga...:rose
    khush rahiye
    Mehroo
    Last edited by kanch ki mehroo; 16 September 2005, 19:21.

    kabhi kitaboN main phool rakhna...!
    kabhi darakhtoN pe naam likhna...!

  • #2
    Re: ~*~ aaja...ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

    hay nice 1
    apnoon nay ghum diyay to mujhay yaad a geya
    ik ajnabi jo ghair tha aur ghumguzaar tha

    Comment

    • #3
      Re: ~*~ aaja...ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

      mein pehlai tumhari ye ghazal parh chuki hoon dubara parh kar aur bhi achi lagi hai /yhug

      bauhat khush raho bacha :x

      Comment

      • #4
        Re: ~*~ aaja...ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

        Originally posted by kanch ki mehroo
        salam. kuch arsa pehlay aik ghazal parhi thi...bohat achi lagi thi...to usi ki zameen par kuch likhnay ki koshish ki hai....bardasht kijiye ga.

        ~*~ aaja ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

        us say kaho ke aaye, zamanay guzar gaye
        hontoN ko muskuraye zamanay guzar gaye
        mehroomiyoN ke daur main kuch hasratoN ke khuwab
        ankhoN main la basaye zamanay guzar gaye
        rukhsat huwi hain gham ki baharain usi ke sath
        seenay pay teer khaye zamanay guzar gaye
        banjar si ho gaii hai mere dil ki sar zameeN
        ankhoN ko khooN bahaye zamanay guzar gaye
        kal aainay ko daikh kar khayal sa aaya
        chehra mujhe sajaye zamanay guzar gaye
        ab roshni kahan say milay gi jahan ko
        mujh ko jigar jalaye zamanay guzar gaye
        sardi ki shaam main kabhi tarrace pe baith kar
        "coffee" tujhe pilaye zamanay guzar gaye
        ungli ko munh main daab ke, sharma ke daf'atan
        chehra mujhe chupaye zamanay guzar gaye
        aaja ke haar maan li meri anaa ne ab
        aaja ke sar jhukaye zamanay guzar gaye...

        apki aara ka intazar rahay ga...:rose
        khush rahiye
        Mehroo
        us say kaho ke aaye, zamanay guzar gaye
        hontoN ko muskuraye zamanay guzar gaye
        mehroomiyoN ke daur main kuch hasratoN ke khuwab
        ankhoN main la basaye zamanay guzar gaye

        Buhat khoob mehroo ,, buhat acha likha hai ,, buhat sii daad qabool karoo .:)

        khush rahoo :rose
        .

        Comment

        • #5

          :rose :rose
          bohat bohat umdah kalam hey mehroo parh kar bas lutf hi aa gya hey har har shair dilnasheen hey aur pukhta kalam hey tumhara khuda tumhari likhny ki salahiyat ko aur barhaye amen :rose khush raho:)

          Comment

          • #6
            Re: ~*~ aaja...ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

            Originally posted by kanch ki mehroo
            salam. kuch arsa pehlay aik ghazal parhi thi...bohat achi lagi thi...to usi ki zameen par kuch likhnay ki koshish ki hai....bardasht kijiye ga.

            ~*~ aaja ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

            us say kaho ke aaye, zamanay guzar gaye
            hontoN ko muskuraye zamanay guzar gaye
            mehroomiyoN ke daur main kuch hasratoN ke khuwab
            ankhoN main la basaye zamanay guzar gaye
            rukhsat huwi hain gham ki baharain usi ke sath
            seenay pay teer khaye zamanay guzar gaye
            banjar si ho gaii hai mere dil ki sar zameeN
            ankhoN ko khooN bahaye zamanay guzar gaye
            kal aainay ko daikh kar khayal sa aaya
            chehra mujhe sajaye zamanay guzar gaye
            ab roshni kahan say milay gi jahan ko
            mujh ko jigar jalaye zamanay guzar gaye
            sardi ki shaam main kabhi tarrace pe baith kar
            "coffee" tujhe pilaye zamanay guzar gaye
            ungli ko munh main daab ke, sharma ke daf'atan
            chehra mujhe chupaye zamanay guzar gaye
            aaja ke haar maan li meri anaa ne ab
            aaja ke sar jhukaye zamanay guzar gaye...

            apki aara ka intazar rahay ga...:rose
            khush rahiye
            Mehroo
            Salaam

            Mehroo iss ko pehlii martaba paRh.ker bohot pasand kiya ... Aur ab phir dubara paRh.ker aur hii lutf aaya ... Itnii khoobsurat taKhleeq per daad qubool kero :phool: :rose

            Qassim Mirza :Qassim:

            Comment

            • #7
              Re: ~*~ aaja...ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

              omg.......mehrooooooooo.......itna acha kaise likh layti ho tum......:rose
              Aankhon Mein Raha, Dil Mein Utar Kar Nahi Daikha
              Kashti Kay Musafir Nay Samander Nahi Daikha
              Pathar Mujhey Kehta Hai Mera Chahnay Wala
              Mein Moom hon, Usnay Mujhey Chu Kar Nahi Daikha

              :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

              Comment

              • #8
                Re: ~*~ aaja...ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

                Originally posted by kanch ki mehroo

                banjar si ho gaii hai mere dil ki sar zameeN
                ankhoN ko khooN bahaye zamanay guzar gaye

                ab roshni kahan say milay gi jahan ko
                mujh ko jigar jalaye zamanay guzar gaye

                saari k saari ghazal hee waise to mazbuut khayaalaat ko manzuum kiye huwe hai lekin ooper k muntakhib ash'aar bohat achhe lage. bohat lutf aaya paR kar Mehroo. ye "banjar" wala sher to jaise zehan par naqsh ho gaya ho.
                phuuT nikleeN to ka_ii shahr.e.tamanna Duube
                aik qatre ko tarasti hu_ii banjar aaNkhaiN

                khuda aap ki kaavishoN meiN mazeed nikhaar peda kare ~ Ameen! :rose
                Forgiveness
                Unconditional Love
                Loving Compassion
                Nobility of Thoughts and Actions

                Comment

                • #9
                  Re: ~*~ aaja...ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

                  Bohat jandar gahzal likhi hay aapne kaanch ki mehroo bohat khoob ......Shabsh :)
                  Allah

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~*~ aaja...ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

                    Originally posted by kanch ki mehroo
                    salam. kuch arsa pehlay aik ghazal parhi thi...bohat achi lagi thi...to usi ki zameen par kuch likhnay ki koshish ki hai....bardasht kijiye ga.

                    ~*~ aaja ke sar jhukaye zamanay guzar gaye ~*~

                    us say kaho ke aaye, zamanay guzar gaye
                    hontoN ko muskuraye zamanay guzar gaye
                    mehroomiyoN ke daur main kuch hasratoN ke khuwab
                    ankhoN main la basaye zamanay guzar gaye
                    rukhsat huwi hain gham ki baharain usi ke sath
                    seenay pay teer khaye zamanay guzar gaye
                    banjar si ho gaii hai mere dil ki sar zameeN
                    ankhoN ko khooN bahaye zamanay guzar gaye
                    kal aainay ko daikh kar khayal sa aaya
                    chehra mujhe sajaye zamanay guzar gaye
                    ab roshni kahan say milay gi jahan ko
                    mujh ko jigar jalaye zamanay guzar gaye
                    sardi ki shaam main kabhi tarrace pe baith kar
                    "coffee" tujhe pilaye zamanay guzar gaye
                    ungli ko munh main daab ke, sharma ke daf'atan
                    chehra mujhe chupaye zamanay guzar gaye
                    aaja ke haar maan li meri anaa ne ab
                    aaja ke sar jhukaye zamanay guzar gaye...

                    apki aara ka intazar rahay ga...:rose
                    khush rahiye
                    Mehroo
                    Asslam-o-Alikum wr wb

                    bhot hi umda

                    FeamanAllah
                    Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                    Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                    Comment

                    Working...
                    X