Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~~~shayad ....^^!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~~~~shayad ....^^!

    Originally posted by jia View Post
    nice sharing:rose
    app to waqye shayer bn gay hain:)
    keep it up
    b happy:rose
    bus jee yay sab kissi ki mehrbaaniyaan hain..!
    sharing pasand kernay ka buhatb shukria..!:rose

    Comment


    • #17
      Re: ~~~~shayad ....^^!

      Originally posted by bloo View Post
      good one Ali, keep writing
      sharing pasand kernay ka buhat buhat shukriya..:rose

      Comment


      • #18
        Re: ~~~~shayad ....^^!

        Sher Ali saheb
        sab se pehlay to aik achchi koshish par meri taraf se daad qabool kijye
        agar aap baqaaida shayeri ke ramooz seekhnay meN dilchaspi rakhte hoN to yeh thread zaroor dekhiye
        http://www.pegham.com/showthread.php?t=27747

        ab aap ki post ki taraf aate heN
        maiN yeh assume kar rahi hooN keh aap ne ghazal kehne ki koshish ki hai

        maiN is ke do sher aik bahr meN aap ko likh kar deti hooN agar aap munacib smjhieN to baaqi ashaar ko durust kar lijye ga

        mujhe apne ghamoN se aashnaa kar de
        tirre dukh ka madawa kar sakoN shayed

        maiN teri zaat ki sab kirchiyaaN chun kar
        tujhe phir se mukamal kar sakoN shayed

        regards
        zmufti

        Comment


        • #19
          Re: ~~~~shayad ....^^!

          sub say pehlay tho main muafi chaahunga keh aap k khiyaalaat k tasalsul ko main nay aik alag tarteeb di hai,woh bhi shaayad iss liyee k zarqa saahiba nay tasheeh ki aik koshish ki tho main nay socha keh main bhi aik koshish kar k daikhh loon so aap ki ghazal ki tasheeh ki aik chhoti si koshish paish hai,


          Comment


          • #20
            Re: ~~~~shayad ....^^!

            Originally posted by zmufti View Post
            Sher Ali saheb
            sab se pehlay to aik achchi koshish par meri taraf se daad qabool kijye
            agar aap baqaaida shayeri ke ramooz seekhnay meN dilchaspi rakhte hoN to yeh thread zaroor dekhiye
            http://www.pegham.com/showthread.php?t=27747

            ab aap ki post ki taraf aate heN
            maiN yeh assume kar rahi hooN keh aap ne ghazal kehne ki koshish ki hai

            maiN is ke do sher aik bahr meN aap ko likh kar deti hooN agar aap munacib smjhieN to baaqi ashaar ko durust kar lijye ga

            mujhe apne ghamoN se aashnaa kar de
            tirre dukh ka madawa kar sakoN shayed

            maiN teri zaat ki sab kirchiyaaN chun kar
            tujhe phir se mukamal kar sakoN shayed

            regards
            zmufti
            Zarqa sister aap ki islah ka main buhat mashkoor hoon..!:rose
            main aap ki islah kay nuktay ko saamnay rakh ker iss ko review kerta hoon..!
            again thanx very much for ur so nice comments:rose

            Comment


            • #21
              Re: ~~~~shayad ....^^!

              Originally posted by Mujahid Khan View Post
              sub say pehlay tho main muafi chaahunga keh aap k khiyaalaat k tasalsul ko main nay aik alag tarteeb di hai,woh bhi shaayad iss liyee k zarqa saahiba nay tasheeh ki aik koshish ki tho main nay socha keh main bhi aik koshish kar k daikhh loon so aap ki ghazal ki tasheeh ki aik chhoti si koshish paish hai,


              Mujahid brother aap ki tas'hih ka buhat buhat shukriya...!:rose
              mujay pasand bhi aai hai ..but aik baat poochni thi..kay..."tum say tujay maangtay hai" kia yay takniki tor say durust hai..!
              plzz guide me..!

              Comment


              • #22
                Re: ~~~~shayad ....^^!

                Sher Ali saheb/ Mujahid saheb

                ghazal kehne meN ujlat se kaam se nahiN lena chahiye
                ghazal kehne ke baad 2-3 baar is par ghaur kar laina chahiye

                Mujhahid saheb
                maiN ne jo sher tajweez kiyye the in ki taqtee dekhiye

                mufaeelun/mufaeelun/mufaeelun

                mujhe apne/ ghamoN se aa/shnaa kar de
                tirre dukh ka/ madawa kar/ sakoN shayed

                maiN teri zaa/t ki sab kir/chiyaaN chun kar
                tujhe phir se/ mukamal kar/ sakoN shayed


                aap ne jo ashaar post kiyye heN un meN grammer ki ghalatioN ke saath saath bahr ki pabandi bhee nahiN hai beshtar misre wazn se khaarij heN
                umeed hai meri baat aap donoN sahebaan par garaaN nahiN guzre gi
                regards
                zmufti

                Comment


                • #23
                  Re: ~~~~shayad ....^^!

                  hmm:D
                  Last edited by Mujahid Khan; 24 August 2007, 10:49.

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~~~~shayad ....^^!

                    bahoot khoob janab
                    achhi koshish hai keep it up
                    sigpic

                    Comment


                    • #25
                      Re: ~~~~shayad ....^^!

                      Originally posted by sher ali View Post
                      uss kay nam jo dil kay buhat kareeb ho chukka ha..!:blush:

                      meinnay aap ki poetry pehli baar parhi ....
                      likah tu khoob magar Poetic grammar ki mistake hai
                      first sher mein b kuch aisa kijay k Sakoon hee ka word aa-ay :)
                      baqi allah karay isss * MEIN * Ki dua poori ho ja-ay :)
                      Likhtay rahiyay :)

                      Comment


                      • #26
                        Re: ~~~~shayad ....^^!

                        array yehan already kafi chaan phatak ho chuki hai ....aap ki poetry ki
                        Mera khiyal hai istelaah mein tu grammar ki koi ghalati nahi magar ..
                        Jo aap kehna chahtay thay oss ki rooh kuch spoil ho gai hai ..
                        Jo sha-er kehna chahta hai jiss tarah saochta hai wesay he likhay tu bas nook palak hee sanwarna chahiaya islaah karnay waloun ko ..:)
                        anyway KEEP ON SHARING ..:)

                        Comment

                        Working...
                        X