Salaam
Chand roz pehlay fil.badii kuch sher kahe thay, paiSh e khidmat haiN ... Mumkin hai k kuch dost isay pehlay bhii paRh chukay hoNgay ... Aap sab kii beSh.qeemat aaraa ka be.sabrii se intezaar rahayga :salam:
Jab diyaa dil kaa mere bujhnay lagaa
Kee taRapker dard se aaho bukaa
MaiN naheiN kerta kisii se bhii gilaa
Ha'ay qismat ha'ay qismat aur kya!
Zindagii bhar hai kiyaa iss per a'mal
Ker bhalaa sab ka teraa hogaa bhalaa
Do ghaRee kertay sukooN se guftagoo
Dil ka yeh armaaN mere dil meN rahaa
Aa gayaa hoNtoN pe dam hooN jaaN balub
Baar furqat ka naheiN mujhse uThaa
Faatihaa paRhker merii tum qabr per
Rooh k riShtay ko yuuN daynaa jilaa ...!
Qassim Mirza :Qassim:

Comment