Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Chand aSh'aar ...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Chand aSh'aar ...

    Salaam


    Chand roz pehlay fil.badii kuch sher kahe thay, paiSh e khidmat haiN ... Mumkin hai k kuch dost isay pehlay bhii paRh chukay hoNgay ... Aap sab kii beSh.qeemat aaraa ka be.sabrii se intezaar rahayga :salam:



    Jab diyaa dil kaa mere bujhnay lagaa
    Kee taRapker dard se aaho bukaa


    MaiN naheiN kerta kisii se bhii gilaa
    Ha'ay qismat ha'ay qismat aur kya!

    Zindagii bhar hai kiyaa iss per a'mal
    Ker bhalaa sab ka teraa hogaa bhalaa

    Do ghaRee kertay sukooN se guftagoo
    Dil ka yeh armaaN mere dil meN rahaa

    Aa gayaa hoNtoN pe dam hooN jaaN balub
    Baar furqat ka naheiN mujhse uThaa

    Faatihaa paRhker merii tum qabr per
    Rooh k riShtay ko yuuN daynaa jilaa ...!



    Qassim Mirza :Qassim:

  • #2
    Re: Chand aSh'aar ...

    Aa gayaa hoNtoN pe dam hooN jaaN balub
    Baar furqat ka naheiN mujhse uThaa

    BUhat khoob Qassim sahib :)

    ShAnI @};-

    Comment


    • #3
      Re: Chand aSh'aar ...

      Aap kay NIck dekh kar hi laga tha aap kaun ho sakhtay ho :)



      anywayz buhat acha likha hia aap nay :rose


      khush rahyeah :rose
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment


      • #4
        Re: Chand aSh'aar ...

        welcome qassim :)

        mein parh chuki hoon isai pehlai aur dubara parh kar aur bhi acha laga :)

        khush rahiyai aur likhtai rahiyai :)

        Comment


        • #5
          Re: Chand aSh'aar ...

          W salaam,


          Qassim sahib bahooot khoob bahooot umdeh pehli baar aapko perhnien kaa mauqaa milaa lekin bahooot hi khoob likhaa hai aapnien dili daad qabool karien aur aayindaa bhi aise hi share kerte rahien khush rahien :rose
          :tang: RISK IS MY BUSINESS

          DANGER IS MY GAME

          DONT PLAY WITH ME
          BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

          Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

          Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

          Comment


          • #6
            Re: Chand aSh'aar ...

            Originally posted by ShAnI
            Aa gayaa hoNtoN pe dam hooN jaaN balub
            Baar furqat ka naheiN mujhse uThaa

            BUhat khoob Qassim sahib :)

            ShAnI @};-
            Aadaab arz hai Shani bhai :phool:

            Comment


            • #7
              Re: Chand aSh'aar ...

              Originally posted by ~khawahish~
              Aap kay NIck dekh kar hi laga tha aap kaun ho sakhtay ho :)



              anywayz buhat acha likha hia aap nay :rose


              khush rahyeah :rose
              So what you are trying to say is that I am so obvious and not hard to guess :D :zuban:

              By the way, thanx for appreciating my work :phool:

              Qassim Mirza :Qassim:

              Comment


              • #8
                Re: Chand aSh'aar ...

                Originally posted by muskaan
                welcome qassim :)

                mein parh chuki hoon isai pehlai aur dubara parh kar aur bhi acha laga :)

                khush rahiyai aur likhtai rahiyai :)
                Salaam

                Itnay pur.Khuloos comment k liay tumhaara mamnuun hooN Muskaan :rose

                Qassim Mirza :Qassim:

                Comment


                • #9
                  Re: Chand aSh'aar ...

                  Originally posted by khurram_shaikh
                  W salaam,


                  Qassim sahib bahooot khoob bahooot umdeh pehli baar aapko perhnien kaa mauqaa milaa lekin bahooot hi khoob likhaa hai aapnien dili daad qabool karien aur aayindaa bhi aise hi share kerte rahien khush rahien :rose
                  Salaam

                  Khurram bhai aap ne itnii pazeeraa'ee kee hai k bas ... Ab to maiN aur bohot sii kaaviShaiN khidmat meN arz kernay se ghabraa'ooNga naheiN :D:

                  Qassim Mirza :Qassim:

                  Comment


                  • #10
                    Re: Chand aSh'aar ...

                    Originally posted by :Qassim:
                    Salaam

                    Itnay pur.Khuloos comment k liay tumhaara mamnuun hooN Muskaan :rose

                    Qassim Mirza :Qassim:
                    wsalaam aur salaam :)

                    lagta hai aap nai bhi nahi pehchana hai ab tak :)


                    khush rahiyai aur likhtai rahiyai :)

                    Comment


                    • #11
                      Re: Chand aSh'aar ...

                      Originally posted by muskaan
                      wsalaam aur salaam :)

                      lagta hai aap nai bhi nahi pehchana hai ab tak :)


                      khush rahiyai aur likhtai rahiyai :)
                      Sach meN maiN ne abhii talak aapko pehchanaa naheiN :blush:

                      Comment


                      • #12
                        Re: Chand aSh'aar ...

                        Originally posted by :Qassim:
                        Sach meN maiN ne abhii talak aapko pehchanaa naheiN :blush:
                        hairat ki baat hai baat karnai kai andaz sai bhi nahi pehchana waisai ye kahan kahan share ki thi aap nai :)

                        Comment


                        • #13
                          Re: Chand aSh'aar ...

                          Originally posted by :Qassim:
                          Sach meN maiN ne abhii talak aapko pehchanaa naheiN :blush:
                          hairat ki baat hai kai aap nai abhi tak nahi pehchana andaz sai bhi nahi :) ye kahan kahan share ki hai aap nai :)

                          Comment


                          • #14
                            Re: Chand aSh'aar ...

                            Salam n welcome janab.

                            Janab qasim sahab buhat khubsurat ,, buhat acha likha hai janab .. :)

                            buhat khush rahoo :rose
                            .

                            Comment


                            • #15
                              Re: Chand aSh'aar ...

                              Originally posted by muskaan
                              hairat ki baat hai kai aap nai abhi tak nahi pehchana andaz sai bhi nahi :) ye kahan kahan share ki hai aap nai :)
                              Aik to pehgam per aata hooN, Hallagulla.net per aaya kerta tha, aur Hulchul per ... Ab in meN se to Hallagulla to naheiN raha to phir do hii bachay haiN :tang:

                              Comment

                              Working...
                              X