Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aap aur aap ki khushi saahib

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aap aur aap ki khushi saahib

    aslaam_u_alikam


    ho gaye jab sey ajnabi saahib
    zindagi main hai tergii saahib

    muskuraaney ki chaah main aksar
    aankh main aa gayee nami sahib

    aap aur aap ke sabhee vaade
    mushkilon meiN hai zindagi sahib

    aap key dam sey yun darakhshaaN hun
    chaand key dam sey chaandni saahib

    ik musalsal azaab lagti hai
    aur kia hai ye zindagi saHib

    yoon takalluf se aap ka milna
    jaise milte hain ajnabi saahib

    fatima rabb se aur kia chaahe?
    "aap aur aap ki khushi saahib"

  • #2
    Re: Aap aur aap ki khushi saahib

    Originally posted by Fatimah
    aslaam_u_alikam


    ho gaye jab sey ajnabi saahib
    zindagi main hai tergii saahib

    muskuraaney ki chaah main aksar
    aankh main aa gayee nami sahib

    aap aur aap ke sabhee vaade
    mushkilon meiN hai zindagi sahib

    aap key dam sey yun darakhshaaN hun
    chaand key dam sey chaandni saahib

    ik musalsal azaab lagti hai
    aur kia hai ye zindagi saHib

    yoon takalluf se aap ka milna
    jaise milte hain ajnabi saahib

    fatima rabb se aur kia chaahe?
    "aap aur aap ki khushi saahib"
    ZABARDAST :phool: :phool: :phool:
    Main hamesha yehi kehta chala aaya hoon keh fatimah aap jab bhi is mehfil mein aati hain bohat khoobsurati sey aatin hain. Is ghazal ki kya tareef karoon? woh ehsaasat jo ham jaisey insaan kabhi na kah sakein woh aap ney chand alfaaz men pro kar rakh diyey hain. Daad qabool kijiye MashaAllah.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Aap aur aap ki khushi saahib

      Bohat pyari ghazal likhi hay .Allah nazr-e-bad se bachey ......likhti rahein aur khush rehin :)
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: Aap aur aap ki khushi saahib

        Buhat Khoobsurat Fatimah :rose


        buhat acha likha hai aap nay :)


        khush rahyeah :)
        Zindagi Thak Gaye ..!!

        Comment


        • #5
          Re: Aap aur aap ki khushi saahib

          Salam...

          Behad purlutf ghazal.... Nihayat umdhigi se likha hey ... buhat tareef wosool kijiyeh.....

          Shabbash...:)

          Comment


          • #6
            Re: Aap aur aap ki khushi saahib

            bohut khoobsoorat,,,,,,,,,,khush raheyey sadda:rose
            Qaffas-e-hijr mein
            saansoon ka amal
            jarii tou hey magar
            zindagii hey kahaan
            dhoondh raha hoon
            sagarkhan:rose

            Comment


            • #7
              Re: Aap aur aap ki khushi saahib

              wahhhhhhhhhh...bohat khooob likha hai apne:)

              khush rahiye

              kabhi kitaboN main phool rakhna...!
              kabhi darakhtoN pe naam likhna...!

              Comment


              • #8
                Re: Aap aur aap ki khushi saahib

                W salaam,


                waaah bahooot khooob bahooot hi umdeh aur zabardast likhaa hai chhoooti tumnien her sher hi umdeh aur zabrdast hai khoob likhti raho din b din tumhaare likhnien mien nikhaar aataa jaarahaa hai daad qabool karo khush raho :rose :)
                :tang: RISK IS MY BUSINESS

                DANGER IS MY GAME

                DONT PLAY WITH ME
                BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                Comment


                • #9
                  Re: Aap aur aap ki khushi saahib

                  fatima rabb se aur kia chaahe?
                  "aap aur aap ki khushi saahib"


                  Aik bar phir khoobsurat se kalaam k sath jalwahgar ka shukriya, aap unn members mein se hein jin ka humein humesha intezar rehta hey k kub pyaray se kalaam k sath hazir hotay hein. Thanx again Fatima:rose

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aap aur aap ki khushi saahib

                    bauhat hi khubsurti sai jazboon ko lafzoon ka rang diya hai aap nai :) simple beautiful :)

                    khush rahiyai aur likhti rahiyai :)

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aap aur aap ki khushi saahib

                      Originally posted by Fatimah
                      aslaam_u_alikam


                      ho gaye jab sey ajnabi saahib
                      zindagi main hai tergii saahib

                      muskuraaney ki chaah main aksar
                      aankh main aa gayee nami sahib

                      aap aur aap ke sabhee vaade
                      mushkilon meiN hai zindagi sahib

                      aap key dam sey yun darakhshaaN hun
                      chaand key dam sey chaandni saahib

                      ik musalsal azaab lagti hai
                      aur kia hai ye zindagi saHib

                      yoon takalluf se aap ka milna
                      jaise milte hain ajnabi saahib

                      fatima rabb se aur kia chaahe?
                      "aap aur aap ki khushi saahib"
                      Wsalam
                      kya hain alfaz kya rawani hai
                      Khoob likhi ahi ye ghazal sahib :)

                      Hamesha Muskurati rahiyay

                      ShAnI :rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: Aap aur aap ki khushi saahib

                        muskuraaney ki chaah main aksar
                        aankh main aa gayee nami sahib

                        aap aur aap ke sabhee vaade
                        mushkilon meiN hai zindagi sahib

                        kamal likha...Fatimah ji ... chand din pehlay hi aap ki ye ghazal kahe'n aur parhi ... aur tabb to iss qadar doobay ke kuch keh na paye.. magar aaj aap ko yahan pa ker be'intaha khushi bhi huyee ke aap se rahnuma-o-mash'al bardar bhi mojood hein..aur ye moqa bhi haath se na janay diya.. so aaj aap se hum kalaam ho hi gaye... Bohat hi qabil-e-satayish ghazal kahi ...Bohat si daad ki mustahiq hein aap .. so daad hazir hai .. Bohat Shukria.. Mazeed ka intazar rahay ga...:rose

                        wafa aur dua ke saath
                        withlove :rose

                        .......JI RAHAY HEIN KAMAL KERTAY HEIN.......

                        Comment


                        • #13
                          Re: Aap aur aap ki khushi saahib

                          Bohot Khoob... :thmbup:
                          Share karnai ka bohot shuqria.:rose
                          keep smiling
                          "I love you till eternity and that's a vow...
                          ...And this I promise you, that my promise is worth a million lives..
                          I can never break my promise to you for it meant my life.. "

                          Comment


                          • #14
                            Re: Aap aur aap ki khushi saahib

                            Originally posted by Masood
                            ZABARDAST :phool: :phool: :phool:
                            Main hamesha yehi kehta chala aaya hoon keh fatimah aap jab bhi is mehfil mein aati hain bohat khoobsurati sey aatin hain. Is ghazal ki kya tareef karoon? woh ehsaasat jo ham jaisey insaan kabhi na kah sakein woh aap ney chand alfaaz men pro kar rakh diyey hain. Daad qabool kijiye MashaAllah.


                            aslaam_u_alikam

                            masood sahib yeh kuch zayada hi ho gayaa. aap key kalam main MASHALLAH jo nikhaar hey wo yahan kahan. aap ko merii yeh koshish pasand aayii main bohat mumnoon hun.
                            shukriya

                            Comment


                            • #15
                              Re: Aap aur aap ki khushi saahib

                              Originally posted by YAARAM
                              Bohat pyari ghazal likhi hay .Allah nazr-e-bad se bachey ......likhti rahein aur khush rehin :)

                              aslaam_u_alikam

                              bohat shukriya yaaram sahib

                              Comment

                              Working...
                              X