Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

    Assalamo allaikum members

    Ham September key maheeney sey aik neya silsila shuru kar rahey hain. Is mein har shairana zoq rakhney waley ko dawat di jati hai keh aap aaiye aur apni sharana soch ko ubhariye. Ham aap ko aik tasweer dein gey is tasweer per aap ney apna kalaam jo aik qita, nazam, ghazal, geet ya kisi bhi tarha sey likh saktey hain.

    Har contest key aakhir mein ham poll karwaein gey keh kon sa kalaam tasweer ki musabqat sey behtreen hai.

    Is contest mein koi haar jeet nahin - hamari koshish hai keh ham apney membraan key zoq ko ubharein - himmat kijiye aur is mein bharpoor hissah lijiye.



    Hamari Pehli Tasweer Hai:

    Sehraa
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

    hm bohat acha silisila shoro kya hay Masood......:)
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

      zabardast sislsila shuroo kiya hai :)

      kabhi kitaboN main phool rakhna...!
      kabhi darakhtoN pe naam likhna...!

      Comment


      • #4
        Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

        Acha silsila hey bahi ji..... :)

        Comment


        • #5
          Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

          Aik adna si koshish ki hey, umeed hey k aap ko pasand aaye gi.
          Attached Files

          Comment


          • #6
            Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

            Muskan :thmbup:
            aur ye rahi meyri koshish

            Raasta kathan to hai magar
            Umeed key jugnu abhi paas hein

            phool abhi baqi hein
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

              acha silsila hia Masood :rose


              aur acha likha hai Muskan aur Gul nay :rose


              jeetay rahyeah khush rahyeah sada abad rahyeah :rose
              Zindagi Thak Gaye ..!!

              Comment


              • #8
                Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

                zaberdast Gul.........aap k liye:phool: .



                Khwahesh aap ka shukriya pasand kernay k liye.aap k liye bhi:phool: aur :rose bhi.

                Comment


                • #9
                  Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

                  Originally posted by Muskan
                  zaberdast Gul.........aap k liye:phool: .
                  shukriya Muskan :)


                  Originally posted by ~khawahish~

                  aur acha likha hai Muskan aur Gul nay :rose


                  shukriya khawahish :)
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #10
                    Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

                    Kuchh hamari janib sey bhi :)
                    Attached Files
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

                      wooooooooo......itti mushkil tasweer :uff
                      Aankhon Mein Raha, Dil Mein Utar Kar Nahi Daikha
                      Kashti Kay Musafir Nay Samander Nahi Daikha
                      Pathar Mujhey Kehta Hai Mera Chahnay Wala
                      Mein Moom hon, Usnay Mujhey Chu Kar Nahi Daikha


                      :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

                        Originally posted by Masood
                        Kuchh hamari janib sey bhi :)
                        Salaam

                        Wah Masood bhai ... Bohot hii achchhe khayaalaat ka izhaar kiya hai aap ne :phool:

                        Qassim Mirza :Qassim:

                        Comment


                        • #13
                          Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

                          Originally posted by ChEeNaThEgReAt
                          wooooooooo......itti mushkil tasweer :uff

                          :tang: :tang:

                          Comment


                          • #14
                            Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

                            Zindagi sehraa ki manind
                            aansooo sookhi ret se
                            hont khushk pathar se huye hain
                            haan tumhari yaad main...
                            is mausam ke sab hi badal
                            aag barsaney lagey hain
                            haan tum aas paas nahen ho
                            kesey sametoon bikhrey huye
                            sookhey huye patton jesi zindagi ke palon ko
                            jis main tum hi bas chukey ho...
                            aur doosra koi naam nahen hai...
                            is se pehley ke aankhen khooon roney lagen....
                            ye badan khushk reit sa honey lagey..
                            aur rooh ka har saaz
                            thalon main dafn honey lage..
                            TUM AA JAO...
                            TUM AA JAO...


                            :roseBy, ME (A) :dua
                            Visit My Early PS Work
                            You Are Welcome To Comment

                            Comment


                            • #15
                              Re: Hamari Tasweer - Aaap Ka Kalaam

                              Originally posted by Aania
                              Zindagi sehraa ki manind

                              aansooo sookhi ret se
                              hont khushk pathar se huye hain
                              haan tumhari yaad main...
                              is mausam ke sab hi badal
                              aag barsaney lagey hain
                              haan tum aas paas nahen ho
                              kesey sametoon bikhrey huye
                              sookhey huye patton jesi zindagi ke palon ko
                              jis main tum hi bas chukey ho...
                              aur doosra koi naam nahen hai...
                              is se pehley ke aankhen khooon roney lagen....
                              ye badan khushk reit sa honey lagey..
                              aur rooh ka har saaz
                              thalon main dafn honey lage..
                              TUM AA JAO...
                              TUM AA JAO...


                              :roseBy, ME (A) :dua

                              :D: :eye: buhat khoob
                              wah

                              Comment

                              Working...
                              X