Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

koi poochey to merey watan sey

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • koi poochey to merey watan sey

    Asalam alaikum,
    ye aik do lines abhi mey ney likhien jin ki tarteeb itni koi theek bhi nahi leykin mey ney socha key aap sab key sath share ker lun ...

    Koi Poochey to merey watan sey
    Aaj us ki salgirah hai

    kya pata us ki matti udaas ho

    kya pata us key darya ro rahein hon

    kya pata us ka sabzah thandak chahta ho

    kya pata us key Pahar pukaar rahey hon

    kya pata us ki hawaein sakoon chahti hon

    aur

    kya pata us key phoolon ko
    dilon mey utar jaaney wali khushboo ki chah ho

    Aey Allah du'a sun leyna
    in beyzabaano ki


    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: koi poochey to merey watan sey

    wah bari hi pyari nazm likhi hai aap ne GUl.......Bare achay khayalat ka izhaar kya hai InshAllah aap ki dua kabool ho gi InshAllah :)
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: koi poochey to merey watan sey

      So beautifull gul:phool: , Aap ne boht hi sada say andaz mein apnay khoobsurat se jazbat ka izhaar kar k watan se muhabbat ka saboot diya hey.
      Thanx for sharing:rose :rose :rose

      Comment


      • #4
        Re: koi poochey to merey watan sey

        Shurkriya Yaaram aur Muskan :)
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: koi poochey to merey watan sey

          Wah Buhat khoobsurat :rose



          buhat acha likha hai Gul :)


          khush raho hamesha :)
          Zindagi Thak Gaye ..!!

          Comment


          • #6
            Re: koi poochey to merey watan sey

            zabardast Gul :rose
            bohaat hi achaa likha hai aap nay.apny khyalaat ka izhaar waki bohat achy andaaz main kera aap nay :)

            Comment


            • #7
              Re: koi poochey to merey watan sey

              shukran khawahish and komal

              (komal tum ho kidher :D :rose)

              mey soch rahi hun key 14 aug. 2006 ki tehreer mey ney Pegham per kyun nahi daali :cc:
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #8
                Re: koi poochey to merey watan sey

                that so nice , i really liked it, mujhe laga k main waqi apne watan main aa gay hoon, v nice.x x x x

                Comment

                Working...
                X