Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Muhabbat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Muhabbat

    kuch waqt pehley mey ney yunheen aik research ki thi aur mozoo tha "muhabbat"

    mukhtalif logon ki raye jaan ker mey ney kuch likha tha to aaj mey aap logon key sath share ker deyti hun
    -------------------
    agar
    kabhi fursat miley to ghaur kerna
    tumharey kareeb koi rehta hai
    jo tumhein chahta hai
    dil ki gehrayon sey
    magar
    wo khamosh hai
    aur apni khamoshi ko
    lafz deyna nahi jaanta
    leykin
    agar ho sakey
    to tum hi us ki
    khamoshi ko perh leyna

    ussey tum sey muhabbat hai!
    -------

    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Muhabbat

    wo kehta hai
    anjaaney raaston key musaafir
    manzil paaney sey pehley hi
    rasta kho jatey deytey hien



    wo kehta hai
    zindagi roshni ka naam hai
    leykin ye roshni
    andheyron mey talashi jati hai



    wo kehta hai
    khaabon ki tabeer ko
    un key tootney sey pehley
    paa liya kartey hein



    wo kehta hai
    muhabbat ka izhaar
    waqt guzarney sey pehley
    ker liya kartey hein



    wo kehta hai
    khaab itney na deykho
    key tumhari zindagi
    khaabon ki nazar ho jaye



    wo kehta hai
    phoolon ki khusboo ko
    bikharney sey pehley hi
    aanchal mey bhar liya kartey hein



    wo kehta hai
    ab key deyr mat kerna
    koi pukarey to
    us ki taraf laut jana



    wo samajta nahi
    key mujhey us sey
    muhabbat hai!
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: Muhabbat

      hum udaas hotey hein jab
      koi apna
      bohot apna
      hamein
      buladiyon key maqaam
      tak ley jata hai
      aur phir
      aankh band ker key
      beech raastey mey
      sath chaur deyta hai
      lafzon sey
      phir jata hai
      ta'beer honey sey pehley hi
      khaab taur deyta hai


      aur
      rishton ko bhoola deyta hai
      aaj
      mujhey bhi bhool jaaney do
      key mey
      wapsi key safar mey hun!!!
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: Muhabbat

        jaaney walon ko rauka nahi kertey
        apney aap sey yun naraaz raha nahi kertey


        zindagi ka kya hai guzar jaye gi
        andheyron ka safar kiya nahi kertey


        kuch log apney bhi hotey hien
        her kisi ko paraya samjha nahi kertey


        raat ka kya hai dhal jaye gi
        roshni sey is tarhan rukh pheyra nahi kertey


        meyri zindagi ka hasil ho tum
        beech safar mey yun raasta badla nahi kertey
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: Muhabbat

          :clap: :clap: :clap:

          Mujhey yaqin nahin aa raha Behna, bilkul yaqin nahin aa raha... itna khoobsurat itna haseen aur itna faseehbiyani sey tum ney likha hai - feeling so much proud of u :clap:

          Meri aankhein is waqt nam si hain - jaaney kyun :blush:
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: Muhabbat

            ^ shukrya bro. :$

            to phir mujhey kabhi kabhi apni writings pegham per share kerni chahyien ta key aap itney heyraan na hon :d
            Last edited by Z.; 28 November 2006, 01:45.
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: Muhabbat

              Asalaam-o-Alaikum!

              Bohut khub likha hai app nay :rose Muhabat per is qadar likha gaya hai aur is qadar mukhtalif andaz main likha gaya hai kay kabhi kabhi to hum mutazabzab ka shikar ho jatey hain kay akhir 'muhabat' haqeeqatun hai kia :mm:

              App ki pehli kavish ko paher ker kuch yaad a gaya, hazir-e-khidmat hai:

              Hum labo'n say kah na paye hal-e-DIL kabhi
              Aur woh samjhye nahi yeh khamoshi kia cheez hai
              Last edited by DIL; 28 November 2006, 05:58.
              Mainda Ziker Vi Tu'n, Mainda Fiker Vi Tu'n
              Mainda Zoaq Vi Tu'n, Vajdaan Vi Tu'n
              Mainda Aval, Akhir, Ander, Bahir
              Zahir Tey Pinha'an Vi Tu'n
              Mainda Bakht Tey, Naam Nishan Vi Tu'n

              Comment


              • #8
                Re: Muhabbat

                Originally posted by DIL View Post
                Asalaam-o-Alaikum!





                Bohut khub likha hai app nay :rose Muhabat per is qadar likha gaya hai aur is qadar mukhtalif andaz main likha gaya hai kay kabhi kabhi to hum mutazabzab ka shikar ho jatey hain kay akhir 'muhabat' haqeeqatun hai kia :mm:
                shukrya
                aur muhabbat haqeeqatan kya hai
                yahi to logon ko abhi tak samaj nahi aya issi liye to iss per bas likhtey chaley ja rahey hein :P



                App ki pehli kavish ko paher ker kuch yaad a gaya, hazir-e-khidmat hai:


                Hum labo'n say kah na paye hal-e-DIL kabhi



                Aur woh samjhye nahi yeh khamoshi kia cheez hai



                khoob..



                Na may uss ko paas bula saka

                Woh hansi hansi may hi chal diya
                May to haath tak na mila saka

                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: Muhabbat

                  Bohat hee khub
                  thanx for sharing:)
                  If Allah brings you to it, He will bring you through it.

                  Happy moments, praise Allah.
                  Difficult moments, seek Allah.
                  Quiet moments, worship Allah.
                  Painful moments, trust Allah.
                  Every moment, thank Allah.



                  Comment

                  Working...
                  X