Azeezan.e.Mehfil:
:salam:
Aap ki bazm meiN pehli martaba haazir ho raha hooN. Aik ghazal paish.e.khidmat hai. Aap ki qeemti araa ka muntazir rahooNga.
Khush RahaiN
Mukhlis
Khalish
Hawa ke doosh per bikhray jo gham haiN
Meri hasrat key yeh naqsh.e.qadam haiN
(2)
Buhot ristay haiN yeh tanhaaeeyouN meiN
Yeh daagh.e.dil kahaaN chalooN se kam haiN!
(3)
main apne aap tak shayed na pohaNchooN
meri hasti meiN itne paich.o.kham haiN
(4)
sadaaeiN ab bhi daita hooN maiN khud ko
karooN meiN baat kis se loog kam haiN
(5)
Abhi fursat nahi marne ki mujh ko
Abhi sehne ko kitne ranj.o.gham haiN
(6)
rakhooN kaaNdhay pe sar main kis ke jaa kar!
sabhi tu mehv.e.aazaar.o.situm haiN
(7)
:Khalish: kab tak jiaiN iss zindagi ko?
Ajab si be.basi hai aur hum haiN
Iss ghazal ka urdu version bhi paish kar raha hooN
:salam:
Aap ki bazm meiN pehli martaba haazir ho raha hooN. Aik ghazal paish.e.khidmat hai. Aap ki qeemti araa ka muntazir rahooNga.
Khush RahaiN
Mukhlis
Khalish
GHAZAL
(1)Hawa ke doosh per bikhray jo gham haiN

Comment