azeezan-e-bazm
aadab
bohot dino pehlay aik bazm k shairy muqablay k liay iss misray "hum bhala araz-e-hal kia kartay" per yeh ghazal likhi thi per masrofiyat k baies post nahi kar saki thi. aaj purani couch files check kar rahi thi tu yeh ghazal mil gaie so socha kiyon na iss ko aaj idhar post kar don.
aap ki aara-o-tanqeed ka intizar rahay ga or koie islah karna chahey tu meray liay khushi ka baies hogi yeh bat
regards
uzma khan
Tum bin qismat-e-malal kia kartay
Hum bhala arz-e-hal kia kartay
Tum bin tu ik pal nahi guzarta
Hum bhala basar Mah-o-sal kia kartay
Jub tum ko lot hi jana tha
Hum bhala tuM say saWal kia kartay
Muqadar hamara hijar hi hona tha
Hum bhala khuwahish-e-wisal kia kartay
Jub shakh-e-rang hi sookh gaie
HUM bhala Dhanak ko nihal kia kartay
Hamaray mosamo k mizaj hi badal gaye
Hum bhala kisi ka khayal kia kartay
Barrhawa dainay walay hi kho gaye
Hum bhala ub kamal kia kartay
Hum koie hakim-e-waqt tu nahi
Tumhara bhala jeena wabal kia kartay
Tum main milan ki chah hi na thi
Hum bhala milna muhal kia kartay
Hum tu khod haray howay juwari hain
Hum bhala mizaj-e-yar bahal kia kartay
Sarahti nighahain hi jub rooth chalien
Hum bhala Husen-e-Ghazal ko jamal kia kartay

Comment