Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

    Bohat khoob

    Comment


    • #17
      Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

      Bohat umdah bohat achi collection hay :) keep it up and WElcome to Pegham Community :rose
      Allah

      Comment


      • #18
        Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

        tufaan ki iss ada main bhi kitna khaloos tha
        sahil tuk agaya mujhey dhondetay huway

        Comment


        • #19
          Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

          Originally posted by aik_lerki
          Bohat khoob
          Thanks.

          Comment


          • #20
            Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

            Originally posted by Yaaram
            Bohat umdah bohat achi collection hay :) keep it up and WElcome to Pegham Community :rose
            Thanks.

            Comment


            • #21
              Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

              Khud chamun main kaat ker yeh bal-o-per jata houn main

              Aandhiyahn yeh na samujh lain un se der jata houn main


              Upni pulkoun per saja ker tayri yaadoun ke charaag

              Dhondta rehta houn tujh ko jub bhe gher jata houn main


              Lowg kehtay hain k yeh hai chand tayri chandni

              Raat hoti hai to sehra main bikher jata houn main


              Ber lubay sahil mujhay jub kuch nahin aata nazer

              Tayri yaadoun ke samunder main utter jata houn main


              Ub tumharay pas janay ki moseebut bhe gaye

              Aap mayray saath hotay hain jidher jata houn main


              Main houn ik jultay howay dil ki wafawoun ka dhowahn

              Kyun chulli hain aandhiyahn khud hi bikher jata houn main


              Aap kyun hotay hain shamil mosamay bersaat main

              Jub k tayray aik aansoo se bhe bher jata houn


              Bar bar aata mujh ko tayray aanay ka khayal

              Khol ker jo roz upnay baam-o-der jata houn main


              Dair tuk yeh sochtay rehtay hain Afzal raastay

              Doob ker tayray khayaloun main kidher jata houn main

              Comment


              • #22
                Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                Koonjoun ke dar main likha her shaam daikh ker

                Kerta houn tujh ko yaad tayra naam daikh ker


                Kuch tehtiyoun ko choom ker aandhi palut gaye

                In barishoun ka dusht main unjaam daikh ker


                Zahid ke mohn pe likh gayeen mahsoom ungliyahn

                Kafir howa houn main tayra islaam daikh ker


                Main aa gaya houn aaj bhe tauba ko tor ker

                Saaqi tumharay haath main ik jaam daikh ker


                Paain ge mayray saath kaye aur bukhshashain

                Rowoun ga rozay husher yun ulzaam daikh ker


                Bemar paishay murg jub suktay main pur gaya

                Nadaan mehway turb thay aaraam daikh ker


                Daikhi hay aaj main ne wo sehra ki chandni

                Yeh choudween ka chand lubay baam daikh ker


                Nadahn kafun bhe ohr ker kabay main ghus gaay

                Shahid wo bukhsh day unhain ehraam daikh ker


                Afzal ko rahay ishk main her aik mor per

                Rona purra hay husratay na kaam daikh ker.

                Comment


                • #23
                  Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                  Jo mer jaain to maain yaad aati hain

                  Wo junnut ki fazaain yaad aati hain


                  Main pehroun daikhta rehta houn aangun ko

                  Mujhay tayri duaain yaad aati hain


                  Na aata main to jin ko daikhti thee tu

                  Mujhay ub bhe wo rahain yaad aati hain


                  Lahud per rukh deya hay main ne dil upna

                  Mujhay tayri adaain yaad aati hain


                  Main ser ko rukh ke pather per jo rota houn

                  Mujhay tayri hi bahain yaad aati hain


                  Jo mujh ko daikh ker khushiyahn munnati theen

                  Mujhay tayri niggahain yaad atti hain


                  Jinhain tu ne kissi ke ser peh rukhna tha

                  Kahan hain wo radaain yaad aati hain


                  Jo daiti thee mujhay tu upnay aanchul se

                  Bahut thundi hawaain yaad aati hain


                  Main jub bhe behttha houn pair ke neechay

                  Tayri shufkut ki chaain yaad aati hain


                  Sunni theen jo mayray bemar hathoun ne

                  Tayray dil ki sadaain yaad aati hain


                  Mayray ghum daikh ker jo doob jaati theen

                  Kahan hain wo niggahain yaad aati hain


                  Wo jis din aap ne gher chowr jana tha

                  Mujhay wo serd aahain yaad aati hain


                  Lahud per khol ker damun jo behtha houn

                  Mujhay tayri ataain yaad aati hain


                  Khudaya bukhsh de us ko wo achchi thee

                  Mujhay jitni duaain yaad aati hain

                  Comment


                  • #24
                    Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                    Charaghoun ko jala ker hum chullain phir aaj koochay main

                    Yeh aansoo kyun chuppa ker hum chullain phir aaj koochay main


                    Mayre tishna lubby ko daikh ker janahn nay keh bhaija

                    Ghurra ser pay utha ker hum chullain phir aaj koochay main


                    Jinhain tu daikhta rehta hay pehroun behth ker younhe

                    Wo nukshay pa mitta ker hum chullain phir aaj koochay main


                    Mohubbut kay jurrum ke ibtada tukhleekay dunya hay


                    Kyun ser ko jhukka ker hum chullain phir aaj koochay main


                    Deya hay mushwara Ranjhay nay mujh ko ub gadaaye ka

                    Khillounay kuch bana ker hum chullain phir aaj koochay main


                    Sunna hay chand ubhray ga uffuk main shaam say pehlay

                    Naay kupray saja ker hum chullain phir aaj koochay main


                    Na janay kitnay urmahn so rahay hain dil main ay Afzal

                    Unhain bhe ub jaga ker hum chullain phir aaj koochay main

                    Comment


                    • #25
                      Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                      Wo upne kuj adaye kay isharay bhaij daita hay

                      Wo khud to aa nahin sukta sitaray bhaij daita hay


                      Na janay kyun bhanwer nay tham ker rukhe hay jahn mayre

                      Sunna tha mernay waloun ko kinnaray bhaij daita hay


                      Main upna dil tayre aankhoun main ja ker na dabowoun to

                      Rukhay tabahn mayray dil main unggaray baijh daita hay


                      Wo jub bhe mayre dunya say nikkulta hay khafa ho ker

                      Jo dil nay bohj sudyoun main uttaray bhaij daita hay


                      Leya jata hay mayra nam bhe ub tayre mehfil main

                      Koye jhooty khaber mayray bhe baray baijh daita hay


                      Main hub-un-nas say aagay to kuch bhe parh nahin sukta

                      Main rukh laita houn zahid jo sipparay bhaij daita hay


                      parah hay aaj bhe main nay tumhaara naam putay per

                      Khudda her roz mujh ko khut tumharay bhaij daita hay


                      Khudaya upnay hathoun main yeh lay lay karobar us ka

                      Main na mangoun to phir bhe ghum udharay bhaij daita hay


                      Chulla hay chowrnay Afzal ko tofahn aaj sahil per

                      Khudda kis bay busy main bhe saharay bhaij daita hay

                      Comment


                      • #26
                        Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                        Main pehroun behth ker phooloun bheray in upnay khaitoun main

                        Main ukser daikhta rehta houn in baytab rahoun ko

                        Keh jin per chul kay ik din tum

                        Leay ik phool bahoun main

                        Mujhay tum milnay aawo ge

                        Kubhe main muskaroun ga

                        Kubhe tum muskarwo ge

                        Main choo ker tayray hathoun ko utha ker phool choomoun ga

                        Tujhay main saath lay ker in hurray khaytoun main ghoomoun ga


                        Mayre jahn aissa kub ho ga?

                        Comment


                        • #27
                          Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                          Achay lugtay hain weranay raat ko julnay waloun ko

                          Dhoond he laytay hain perwanay raat ko julnay waloun ko


                          Doob gaya jub chand uffak main wo bhe rusta bhool gaye

                          Phir na aaye neend sullanay raat ko julnay waloun ko


                          Taiz hawaoun main bhe shub ko sara sehra roshun tha

                          Ranjha aaya fun sikhlanay raat ko julnay waloun ko


                          Kerya kerya busty busty raat ga ay tuk phirtay hain

                          Daita hay derya he tikkanay raat ko julnay waloun ko


                          Chak greeban ball bakhayray mujnoun jo kuch gata tha

                          Laila aa ay yad dillanay raat ko julnay waloun ko


                          Achay lugtay hain wo in ko lowg jo ukser miltay hain

                          Chory chory ker kay bahanay raat ko julnay waloun ko


                          Zahid peecha chowr gaya hay daikh kay upne aankhoun say

                          Peryan aayeen geet sunnanay raat ko julnay waloun ko


                          Daikha chand to soch raha houn Afzal yeh khud pagil hain

                          Kehtay hain jo lowg dewanay raat ko julnay waloun ko

                          Comment


                          • #28
                            Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                            Tayray hijr kay tuptay sehra main, mayray dil ko jub bhe payas lugge

                            Tayray payar ke serd hawaoun nay, mayray dil ko aa ker choom leya


                            Tayray hijr main mayre aankhoun ka ,mayray hontoun nay bhe sath deya

                            Khubhe door say tujh ko daikh leya, kubhe pas bitha ker choom leya


                            Mujhay raat ke is tunhaye nay , aadaab sikhaay milnay kay

                            Jis hath main tum nay hath deya, wo hath utha ker choom leya


                            Jis phool kay bosay ke khatir , yeh dil sudyoun say tarupta raha

                            Ik baday saba kay jhounkay nay, kantoun ko hatta ker choom leya.

                            Comment


                            • #29
                              Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                              Ik bergay gull houn main mirray kantay rakeeb hain

                              Gulcheen jalaad hay mayra jhounkay saleeb hain


                              Ro ro kay mangtay thay jo sehra main chandni

                              Wo lowg aaj chand kay kitnay kareeb hain


                              Aata houn tayre deed ko her sham isleay

                              Ay shehray khamshahn tayray bassy ghareeb hain


                              Manga nahin hay isleay sheshay ka gher kubhe

                              Puther hain jis kay haath main mayray naseeb hain


                              Napoun ga rahay ishk ka main aik aik inch

                              Ay dil tumharay howslay mayre jareeb hain


                              Her shaksh mujh ko ghoor kay kehta raha yeh baat

                              Yeh zindge kay rastay kitnay moheeb hain


                              Main aaj in ko chowr kay aaya tha dusht main

                              Phir aa ga ay hain lowt kay ghum bhe ajeeb hain


                              Afzal kay dil peh rukh kay yeh nishter se ungleyahn

                              Suktay main kyun purray howay mayray tabeeb hain

                              Comment


                              • #30
                                Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                                Jis chand ke khatir sooruj say mayre sarry zindgee bun na sukky,

                                Wo chand bhe mayre aankhoun ko raatoun kay nizzaray day na sukka.

                                Jis chand ke khatir dally thee yeh zindgee in tofanoun main.

                                Wo chand bhe biphre moujoun ko ruknay kay isharay day na sukka.

                                Mara sarry zindgee ghutta raha dum in kumbukht khillaoun main,

                                Tayre raat se kally zulfoun ko main chand sittaray day na sukka.

                                Ik bhutkay howay rahe ke tarrah kahin ja ker door samundroun main.

                                Wo khud bhe doob gaya Afzal tujh ko bhe kinnaray day na sukka.

                                Comment

                                Working...
                                X