Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

    Raat kaati khaab main aur din guzzara yaad main

    Laut ker phir aa gaye rounuk dillay nashaad main


    Dil lipput jata hay goya phool ke putty kay saath

    Paicho khum khata hay aanchal jub adaay baad main


    Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaagh

    Jul raha hay aaj bhe is khana-ay berbaad main


    Goonjti rehti to houn ge tayray baam-o-der main wo

    Chup gayeen masoom chekhain jo mayre roodaad main


    Main chulla houn mayray baba per mayray janay kay bahd

    Reh gaay Sajjaad baki ub tayre aulaad main


    Khoonay Muslim tujh ko lulkaray hay dushtay kerbala

    Baandh ker taigho kafun aao chullain baghdaad main


    Daal ker pawoun main tayray payar ke zunjeer ko

    Dhondta phirta houn tujh ko sukhteay foulaad main


    Is kayamut ke gawahe kay leay yeh husher tuk

    Mayray per liptay rahain gay bazooway sayaad main


    Main nay Afzal kanptay daikha hay Shereen ka mahal

    Zulzalay behthay thay chup ker taisha-ay Farhaad main.

  • #2
    Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

    Teri un dil soz yadooN ka woh madhum sa charagh
    Jal rhaa hai aaj bhi is khana-e-barbaad main....

    zalzalay baiThay thay chup kay tesha-e-farhaad main.....

    bohot he umdah aur zubardast :rose
    That's Enough...!!

    Comment


    • #3
      Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

      I am really beholden to you for your so sweet reinforcement.

      Comment


      • #4
        Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

        Hota hay kaya yeh ber lubay sahil qamer to daikh

        Ik raat dil ke rait peh ker kay baser to daikh


        Neechay wo jis kay aik din kaati thee hum nay shaam

        Phooloun tullay jhukke howe shakhay shajer to daikh


        Ay Khizr kaya rukha hay us umray daraaz main

        Panni kisse kay payar ke punghut say bher to daikh


        Behthee hain kitne seepeyahn mohn kub say khol ker

        Aaghoshay mouj main bhe kubhe doob ker to daikh


        Chunta houn isleay haseen lufzoun ke sereyahn

        Janahn nay yeh kaha tha keh dil main utter to daikh


        Kuttay nahin hain kis tarah unjaan raastay

        Tu sukhteay hayaat main hud say guzzer to daikh


        In badiloun ke oat say ik pul to jhaank ker

        Kitna uddas hay mayray dil ka nager to daikh


        Phaila howa hay subbah ke chader peh kis ka khoon

        Afzal tu aaj ghour say rungay saher to daikh.
        Attached Files

        Comment


        • #5
          Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

          koi shak nahee kay poetry main wazan aur khubsorat alfaz ka istemal hai :rose , brother aik guzarish hai, font size thoRa baRa rakhain takay sab ko paRhnay main aasani ho :wk
          That's Enough...!!

          Comment


          • #6
            Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

            Originally posted by ScorpioN_RulzZ
            koi shak nahee kay poetry main wazan aur khubsorat alfaz ka istemal hai :rose , brother aik guzarish hai, font size thoRa baRa rakhain takay sab ko paRhnay main aasani ho :wk
            Thanks dear for your kind patronage.I shall do coply with your benign suggestion.

            Comment


            • #7
              Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

              Yun mayre pulkoun peh ushkoun ko sajaya aap nay

              Jis tarah kousay quzzah ka rung churraya aap nay


              Jhoom ker utray hain aangun main yeh jhounkay aaj phir

              Phool ki putty peh likh ker kaya urraya aap nay


              Main nay phir daikha hay moujoun ko gullay miltay howay

              Kaya rukhay tabahn say aanchal ko huttaya aap nay?


              Dhondti phirti hay jungle main bikher ker chandni

              Chand say koye ja kay poochay kaya gunwaya aap nay


              Phir mujhay wo keh gaya yeh aa kay aadhi raat ko

              Mayray gher kay saamnay kyun gher banaya aap nay


              Aa rahe hay phir tasuwwer main wo mudhum si sada

              Neem wa khirky say shahid phir bullaya aap nay


              Mujh ko lay doobi samunder main bhe sehra ki talaash

              Payar ki kushty main dhokay say bithaya aap nay


              Main girra aaya houn eentain phir tayre dewar ki

              Phir deray janahn peh tala kyun lagaya aap nay


              Chand jo daita hay mujh ko tayray aangun ki khaber

              Fun mujhay akhter shummary ka sikhaya aap nay


              Dil main phir matum kunnahn tha upny mehroomi ka haal

              Mayray urmanoun ka laasha jub uthaya aap nay


              Day rahay hain aaj bhe us aag kay shohlay dua

              Wo tayray Afzal ka dil tha jo jalaya aap nay

              Comment


              • #8
                Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                Phooloun bhurry bahar koye aur lay gaya

                Sumjha tha main k khar koye aur lay gaya


                Aankhain jummy raheen mayre moujoun kay ruks per

                Dil ko nuddy kay par koye aur lay gaya


                Senay peh rukh kay haath main sota houn isleay

                Mayray gullay ka har koye aur lay gaya


                Us dil main bar bar phir aaty hain aandhiyahn

                Jis dil ki ik dewar koye aur lay gaya


                Main baray ghum uthaay younhe daikhta raha

                Janahn tumhara payar koye aur lay gaya


                Mujh ko to mayray sayhin say danay bhe na millay

                Wo kumriyoun ka dar koye aur lay gaya


                Mayray kadum bhe chul purray baratiyoun kay saath

                Jub palki ka bar koye aur lay gaya


                In tehniyoun peh likh gaye jatay howay bahar

                Gulshun say bergo bar koye aur lay gaya


                Her shaksh rok rok kay kyun poochta hay aaj

                Afzal tayra karar koye aur lay gaya.

                Comment


                • #9
                  Tayre un dil soz yadoun ka wo mughum sa charaag

                  Meyut kay saath lowg hain do char aaj bhe

                  Rownuk say hay bhera howa bazar aaj bhe


                  Her rahguzzer main khoon aalooda hain nukshay pa

                  Hain zindgee kay rastay dushwar aaj bhe


                  Main nay sulla kay rukhay hain dil main jo zulzalay

                  Dertay hain mujh say isleay kohsar aaj bhe


                  Zukhmi hain isleay mayre yaro yeh ungliyahn

                  Us gul kay aas pas hain kuch khar aaj bhe


                  Janahn main budnaseeb kay phir dil kay wust main

                  Ghounpy hay tayray hijr nay tulwar aaj bhe


                  Jhounkay tawafay gul main jo aansoo saja gaay

                  Kuch to chamun main hain mayray ghumkhar aaj bhe


                  Dunya main her ghareeb kay damun kay wastay

                  Hain aandiyoun ki gohd main kuch khar aaj bhe


                  Tum so gaay ho istarah muktul kay bazoowo

                  Hay zalmoun kay haath main tulwar aaj bhe


                  Wo badiloun ko bhaij ker janay kidher gaya

                  Aankhain hain jis kay ghum main ushkbar aaj bhe


                  Kantoun peh rukh kay ungliyahn ay nazneen badun

                  Main choomta raha tayray rukhsar aaj bhe


                  Chun chun kay keh rahi hain yeh tinkoun say aandiyahn

                  Afzal tumharay gher kay hain aasar aaj bhe !

                  Comment


                  • #10
                    Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                    :masha buht khooob
                    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                    :pr:

                    Comment


                    • #11
                      Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                      Thanks

                      Comment


                      • #12
                        Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                        Socha jo teer kha ke main ub to sambhul gaya

                        Ik teer aa ke phir mayray senay pe chul gaya


                        Ik nanay khushk daikh ker buchee ke haath main

                        Wo janay kis leay mayray gher se nikkul gaya


                        Her shakhay gul jhukki howe hay ahtaraam main

                        Rukha qadum chamun main to mosum badul gaya


                        Moujain palut rahi theen jub sahil pe chowr ker

                        Sahil ki nurm rait se main phir phissul gaya


                        Tushtay jissum main jul utha roohoun ka imtazaaj

                        Shummah ke saath saath jub main bhe pighul gaya


                        Kerta raha wo ummer bher derya ki phir talaash

                        Paani jo upni mouj main hud se uchchul gaya


                        Phir aa rahi hain kis leay Afzal yeh aanghiyahn

                        Shummah bhe bujh gaye hay jub yeh gher bhe jul gaya

                        Comment


                        • #13
                          Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                          Shesha bana ke jis tarah pather bana deya

                          Is dil ke wastay bhe ik dilber bana deya


                          Paani tumharay payar ka guzra kuch istarah

                          Dil ko tumhari yaad ne sager bana deya


                          Pee pee ke thuk gaya houn main bujhti nahin payas

                          Kis ne tumhari aankh sa sagher bana deya


                          Is butkudday main dosto us ko milla khudda

                          Jis ne bhe upnay aap ko aazer bana deya


                          Yeh thokarain sikha gayeen kaya kaya na hikmatain

                          Pather bhe jo milla usay goher bana deya


                          Do pul ki mussafut peh kaye din guzzer gaay

                          Afzal yeh kis soch ne lagher bana deya

                          Comment


                          • #14
                            Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                            Dil dhondta hay jub tayray kudmoun ke saaz ko

                            Sun sun ke jhoomta houn main dil ki aawaaz ko


                            Tareek ker deya mayri duniya ko kis tarah

                            Sooruj ne chair ker tayri zulfay daraaz ko


                            Frishtay bhe jis ko daikh ker sujday main gir purrain

                            Main dhondta houn aaj bhe us baynamaaz ko


                            Duniya ke kaam chowr ker Mahmood Ghuznavi

                            Her roz daikhta tha wo zulfay ayaaz


                            Utra tha dil ke sayhin main jo choudaween ka chand

                            Badil churra ke lay gaay us maya naaz ko


                            Her roz choom choom ker phooloun ke haar ko

                            Main dhondta houn aaj bhe Ahmad Faraaz ko


                            Chun chun ke aa rahi hay jo aangun main chandni

                            Wo so gaay hain khol ker zulfay daraaz ko


                            Tinkoun se bher gaya hay jo Afzal yeh aaj dil

                            Phir dhondta houn main ussi sholah nawaaz ko

                            Comment


                            • #15
                              Re: Tayre un dil soz yadoun ka wo mudhum sa charaag

                              Ub samujh aaye k upna gher sajanay ke leay

                              Tu ne khud bhaija tha Aazer but bananay ke leay


                              Main badul laita houn shakhay gul kissi ke khouf se

                              Phool ik kafi hay mujh ko geet ganay ke leay


                              Aap ub jo ja rahay hain saray rishtay tor ker

                              Aap aa ay bhe to aa ay phir na aanay ke leay


                              Mayray ushkoun ke samunder se hi uth ker badilo

                              Bijliyahn latay ho mayra gher jalanay ke leay


                              Tayri aankhoun ki yeh hulki si khichawut daikh ker

                              Teer tujh ko day raha houn khud chalanay ke leay


                              Wo kinnaray per bitha ker aaj ay derya-ay ghum

                              Mujh ko aansoo day gaya tujh ko bahanay ke leay


                              Koun tayray saath ja ay ga yeh badil daikh ker

                              Derd ki barish main Afzal ub nahanay ke leay

                              Comment

                              Working...
                              X