adab sathiyon
iss bazm main pehli bar apni aik kawish paish kar rahi hon tanqeed o aara ka intizar rahay ga
regards
uzma khan
Mera qarar lut giya na dosti na piyar hay
Na zindagi main rang hay na ub koie bahr hay
Meray naseeb main koie khushi kabhi rahi nahi
Ghamo k mosamo ka ub kahan koie shumar hay
Siyah sooni rat hay khamoshiyon ka sath hay
Meray liay hayat ub ghamon ka aik bar hay
Hazar badghumaniyon ki talkhiyan hain qalb main
Keh jis k dil ko dekhiye ghubar hi ghubar hay
Faraib sab nay hi diye mujh ko rah-e-hayat main
Jo motibar thay un ka bhi na koie aitbar hay
Khushi k pal udhar day yeh zindagi sanwar day
Ya or bhi tabah kar tujhay yeh ikhtiyar hay
Hamara piyar qarz hay kisi k dil pay aaye Ghazal
Kabhi chuka na paye ga yeh aisa ik udhar hay

Comment