Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mera Qarar....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mera Qarar....

    adab sathiyon

    iss bazm main pehli bar apni aik kawish paish kar rahi hon tanqeed o aara ka intizar rahay ga

    regards
    uzma khan

    Mera qarar lut giya na dosti na piyar hay
    Na zindagi main rang hay na ub koie bahr hay

    Meray naseeb main koie khushi kabhi rahi nahi
    Ghamo k mosamo ka ub kahan koie shumar hay

    Siyah sooni rat hay khamoshiyon ka sath hay
    Meray liay hayat ub ghamon ka aik bar hay

    Hazar badghumaniyon ki talkhiyan hain qalb main
    Keh jis k dil ko dekhiye ghubar hi ghubar hay

    Faraib sab nay hi diye mujh ko rah-e-hayat main
    Jo motibar thay un ka bhi na koie aitbar hay

    Khushi k pal udhar day yeh zindagi sanwar day
    Ya or bhi tabah kar tujhay yeh ikhtiyar hay

    Hamara piyar qarz hay kisi k dil pay aaye Ghazal
    Kabhi chuka na paye ga yeh aisa ik udhar hay



  • #2
    Re: Mera Qarar....

    very nice poem uzma,nice sharing keep it up

    Comment


    • #3
      Re: Mera Qarar....

      Aik aik shair mein apni apni kahani hai aur har aik lafz bohat khoobsurat sey us feeling ko biyaan kar raha hai jo aksar raah-e-hiyaat mein dekhi jati hai. Pehli kavish key saath jalwa-numa hui hain aur kya kavish hai! Allah karey aap ki soch mein mazeed wussat pedah ho....
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Mera Qarar....

        siah soni raat hai khamoshion ka saath hai
        merey liyee hayath ab ghamon ka baar hai

        khushi key pal udhar dey yeh zindagi sanwar dey
        ya aur bhi tabah kar tujeh yeh ikhtiar hai



        bohoth hi khoobsurath ghazal hai , mujeh khaas kar yeh sher bohoth pasand ayee,
        aap ki quwwa-e-qalam ki umer daraz ho,aur hamain uss sey achchi achchi nazmain aur ghazlain pardney ko milain

        best regard
        mujahid khan
        Last edited by Mujahid Khan; 28 June 2006, 17:36.

        Comment


        • #5
          Re: Mera Qarar....

          aap kee poetry main sagher sadikee ka akas dikhti hay
          very nice keep it up

          Comment


          • #6
            Re: Mera Qarar....

            Nice sharing..
            Keep it up.....

            Comment


            • #7
              Re: Mera Qarar....

              Originally posted by sensible
              very nice poem uzma,nice sharing keep it up
              thank u so much mujahid sahib
              regards
              uzma khan

              Comment


              • #8
                Re: Mera Qarar....

                Originally posted by Masood
                Aik aik shair mein apni apni kahani hai aur har aik lafz bohat khoobsurat sey us feeling ko biyaan kar raha hai jo aksar raah-e-hiyaat mein dekhi jati hai. Pehli kavish key saath jalwa-numa hui hain aur kya kavish hai! Allah karey aap ki soch mein mazeed wussat pedah ho....
                thank u so much masood 4 all this valuable comments and encouragment
                regards
                uzma khan

                Comment


                • #9
                  Re: Mera Qarar....

                  very nice thanks for shairing...
                  YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                  Comment


                  • #10
                    Re: Mera Qarar....

                    Originally posted by sensible
                    siah soni raat hai khamoshion ka saath hai
                    merey liyee hayath ab ghamon ka baar hai

                    khushi key pal udhar dey yeh zindagi sanwar dey
                    ya aur bhi tabah kar tujeh yeh ikhtiar hai



                    bohoth hi khoobsurath ghazal hai , mujeh khaas kar yeh sher bohoth pasand ayee,
                    aap ki quwwa-e-qalam ki umer daraz ho,aur hamain uss sey achchi achchi nazmain aur ghazlain pardney ko milain

                    best regard
                    mujahid khan
                    mujahid sahib
                    aap nay iss ghazal pay dubara nazar e inayat ki bayhad mamnoon hon aap ki
                    hosla afzaie or dua k liay bayhad shukriya
                    regards
                    uzma khan

                    Comment


                    • #11
                      Re: Mera Qarar....

                      Originally posted by Khalil
                      aap kee poetry main sagher sadikee ka akas dikhti hay
                      very nice keep it up

                      afsos k main nay kabhi bhi sagher sadikee sahib ko nahi parrha hay i will b gr8 full if u share some of his poetry so i will come to knw wht is there which is same in his and mine poetry
                      read karnay ka shukriya
                      regards
                      uzma khan

                      Comment


                      • #12
                        Re: Mera Qarar....

                        bohot hi zabardast likha hai ........bohot pasand aaye..........:rose
                        sigpic


                        Comment


                        • #13
                          Re: Mera Qarar....

                          Wafa, buhat hii achhii sharing hey
                          keep it up

                          Comment


                          • #14
                            Re: Mera Qarar....

                            Originally posted by a man of letters
                            Nice sharing..
                            Keep it up.....
                            thanks 4 couragment
                            regards
                            uzma khan

                            Comment


                            • #15
                              Re: Mera Qarar....

                              Originally posted by Lexicon
                              very nice thanks for shairing...
                              thank u so much 4 reading and appriciation
                              regards
                              uzma khan

                              Comment

                              Working...
                              X