Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

main kon hun

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • main kon hun

    ik dhhachka hai
    ke ro lun
    hans lun
    yaa.....
    chhup jaaoon kahan
    rakhhwalon se
    woh.......
    jo bachcha thah
    meri godh mey
    aur......
    na jaan paai
    woh shaatir hai
    bhool gaya
    shayad mujeh.......
    zinda
    dafnana
    par ussey yaad hai
    ab thak
    intizaar.......
    meri...
    aur meri bachchi ka
    boli lagney ka hai
    soli par chardney
    yaa.....
    goli lagney ka hai
    main nasamaj
    sub kuch bhool gai
    kia hun......
    main kon hun
    tu mera bhai
    yaa....
    mera bachcha hai
    Last edited by Mujahid Khan; 20 June 2006, 12:14.

  • #2
    Re: main kon hun

    oh my God
    wht a different style and topic
    superb
    regards
    uzma khan

    Comment


    • #3
      Re: main kon hun

      bohoth bohoth shukria uzma khan,aap ki hosla afzaai ka,asal mey main iss nazam mey iss dore ki aik lardki(aurath)ki faryad hai jo iss dore ke mardon aur dor-e-jaahiliath ke mardon se compare kar ke batha rahi hai,ke dor-e-jahiliat aur ab ke mardon mey bilkul koi farak nahi hai,kiun ke woh lardkiun ko peda hothey hi dafna dethey thhaiy aur ye unhain na maar kar ,wani, karo kaari ,jaayidaad ya apni mardaangi key naam par qatal kar key uss ki boli laga kar baich dethey hain,yaani iss dore ka mard dor-e-jaahiliat ke dore sey aurathon ke liyiee ziada aziatnaak saabith hau hai,iss nazam ki lardki ka kehna yeh hai.

      Comment


      • #4
        Re: main kon hun

        bohat achi hai

        keep it up dear :phool:

        Comment


        • #5
          Re: main kon hun

          sansible ji
          aap nay apni nazam ka background wazeh kia acha laga nazam ki rooh tak tu main bhi pohonch gaie thi or aap ki aakhri bat tu waqie bohot sahi hay heero main tolay janay k qabil k aaj ka mard orat k liay zamana jahiliyat k mard say ziyada bura sabit ho raha hay aaj orat ko urrna seekha k par kat diye jatay hain. shaoor day k mahsoor kar dia jata hay. wajha srif yehi hay k hum apnay piyaray mazhab islam say ziyada maasharti cheezo ko customs ko asolo ko ziyada follow kartay hain halan k fazool hain aisay asool jo kisi ki jaan say barrh k ho jaye kisi ki chahat say barrh k ho jain
          regards
          uzma khan

          Comment

          Working...
          X