Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Nazm

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Nazm

    Salam qubool keejiye,

    mehfil-e-pegham ke liye meri aik taza nazm pesh hai,
    umeed ke pasand ayegi.

    Nazm:

    ZameeN per paauN heiN mere
    nahiN qaabu meiN dil meraa

    koi chehraa hai ankhon mein
    badan meiN jiski hei khushboo

    khanakti chooRiyan meri
    bikharte raat ke geisoo

    pashemaN narm lehje mein
    sanbhaale reshmi baazu

    kare jab dil ki voh baatein
    fazaa per chaaye hei jaadoo

    andheri raat meiN taabaaN
    sitaaraoN kii taraH jugnu

    gulaabi shabnami aankhein
    bahaayeN rukh pah bhii aansu

    zara si ek ranjhish mein
    houii aabru chaahat
    gayi maiN kho saraabon mein
    nah chain aayaa kisi pehloo

    wafaa ki reh gayi Hasrat
    hua her zakhm be marham

    houi daaman dareedah maiN
    houaa her khwaab be maqsad

    huaa jab hasrataoN ka khooN
    tou Saara hougiee ghamgeeN

    wafaa per Harf aane se
    bahaayii khoon ke aansoo

    ~~~~~~~~~~~~~~~~~~

  • #2
    Re: Nazm

    Originally posted by Sara
    huaa jab hasrataoN ka khooN
    tou Saara hougiee ghamgeeN

    wafaa per Harf aane se
    bahaayii khoon ke aansoo

    Bohat khoobsurat Sara ji bohat achhi lagi aap ki yeh nazam. Wafaoun ki meeras aansu hi to hotey hain - Itni pyari nazam key share karney par bohat nawazish umeed hai keh aaindah bhi aap apna khoobsurat kalaam ley kar aati rahein gi. Khush rahiye. :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Nazm

      Sara ji aadaab

      Vakai bohot hi khoobsoorat nazm haiy, bohot hi pasand aayii. kyaa khoob alfaaz ka intekhaab haiy aur dil choo lene waale jazbaat se bharpoor haiy aap ki ye nazm, humaari taraf se mubarakbaad kubool kareN , aur yunhi sunaati rahiye..........................

      Safiya
      Naa mey shaam hooN, na sheher hooN
      mera roop ek dhokaa haiy
      mey vo raat hooN, jo theher gayee
      mey vo chaand hooN, jo dhundlaa haiy

      Comment


      • #4
        Re: Nazm

        Assalaam o alekum,



        waaaaaaah waaaaaah bahooot khoooob saroooo ek behud khoobsoorat aur dilkash nazm likhi aur share ki meri jaanib se dherooon DILI DAAD Qabool karo khush raho
        :rose :rose
        :tang: RISK IS MY BUSINESS

        DANGER IS MY GAME

        DONT PLAY WITH ME
        BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

        Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

        Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

        Comment


        • #5
          Re: Nazm

          Masood, Safiya, aur khurram,

          salaam.

          aapsabka tehdil se shukriya.

          sara

          Comment


          • #6
            Re: Nazm

            Sara boht achi nazm likhi hey aap ne, yehan share karnay k liye boht shukriya.:rose

            Magar koshish kijiye k aap URDU rasm ul khat mein likh kar post karein,iss se parhnay walon ki dilchaspi barqrar rahay gi aur parhnay ka maza bhi dobala ho jaye ga.:thmbup: ok, Sara?

            Comment

            Working...
            X