Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

khushi ...April shair Activity

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • khushi ...April shair Activity

    Assalamalikum

    shairo kay khazana activity main aap nay lafz "khushi" pay ashaar post karnay hian :rose
    خوشی

    lafz khushi pay ashaar post karnay hian :rose
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: khushi ...April shair Activity

    Khushi Ki Rut Ho K Gham K Mausam Nazar usay Dhoondhti Hai Har Dam
    Woh Boo-e-Gul Tha K Naghma-e-Jaan Meray To Dil Mein Utar Gaya Woh


    Comment


    • #3
      Re: khushi ...April shair Activity

      Khushi ki mehfil na raas aae, hazar chaha kay muskurain
      Tapish se ghum ki jhulas gaey hain, shaguftagee ka gulab sarey


      Comment


      • #4
        Re: khushi ...April shair Activity

        dukhon mein to nikal aatay hain aankhon say “zaheer” aansoo
        khushi ke mousamon mein bhi kinaaray toot jatay hain


        Comment


        • #5
          Re: khushi ...April shair Activity

          yeh sms khushi shairi hai :khi:

          Phool Khile Zindagi Ki Raah Mein
          Hassi Chamakti Rahe Aapki Nigah Mein
          Kadam Kadam Par Mile Khushi Ki Bahar Aapko
          Dil Deta Hai Yehi Dua Baar Baar Apko…
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #6
            Re: khushi ...April shair Activity

            Main dosron Kii Khushii Kii Khatir Ghubaar Ban Kar Bikhar Gya hon
            Magar Kisi Ney Yeh Haq Na Maana ke Meri Bhi Kuch Zaroratien hein


            Comment


            • #7
              Re: khushi ...April shair Activity

              Kabi Aansoo, Kabhi Khushi Bechi
              Ham Ghareebo'n ne Be-kassi Bechi
              Chand Saanse'n Khareedne ke ley
              Roz Thori se Zindagi Bechi...!!!


              Comment


              • #8
                Re: khushi ...April shair Activity

                Hayat aik mustaqil ghum k siwa kuch bhi nahi
                Khushi bhi yaad ati hai tu Aansoo ban ke ati hai


                Comment


                • #9
                  Re: khushi ...April shair Activity

                  Meri Khushi K Lamhe Muktasir Hain Is Kadar..!
                  Guzar Jaate Hain Mere Muskurane Se Zara Pehley..!


                  Comment


                  • #10
                    Re: khushi ...April shair Activity



                    Comment


                    • #11
                      Re: khushi ...April shair Activity

                      p/b آپ پلیز اشعار اردو میں لکھا کریں
                      رومن میں مزا نہیں آتا

                      خوبصورت ا نتخاب


                      مزا برسات کا چاہو تو ان آنکھوں میں آبیٹھو
                      ساہی ہے، سفیدی ہے شفق ہے ابر باراں ہے


                      roseroseroseroseroseroserose

                      Comment


                      • #12
                        Re: khushi ...April shair Activity

                        Aankh Bhar Aaye Gi Jab Ho Gi Koii Khushi Naseeb
                        Yeh Tabasum Tu Meray Ghum Ka Pata Deta Hay
                        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                        Comment


                        • #13
                          Re: khushi ...April shair Activity

                          Khushi Say Chout Kha Laitay Hain Namm Deeda Nahi Hotay
                          Jo Ahal -e- Dil Hain Aasani Say Ranjeeda Nahi Hotay
                          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                          Comment


                          • #14
                            Re: khushi ...April shair Activity

                            Ajeeb Haal Hay Kuch Un Ki Tabiyat Ka
                            Keh Ghum Bura Na Lagay Or Khushi Khushi Na Lagay
                            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                            Comment


                            • #15
                              Re: khushi ...April shair Activity

                              Aisi Har Saal Aaye Khushi Muyas-ser Tujh Ko
                              Meri Har Saans Kahay Eid Mubarak Tujh Ko
                              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                              Comment

                              Working...
                              X