Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

    Aaj phir us ki yaad aayi hai
    Aaj phir raat kat na paye gi..!!!


    Comment


    • #17
      Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

      Kabhee udaas kabhee dilfigaar pa k mujhay
      Galey lagaatee rahee yaad-e-yaar kee Khushbu


      Comment


      • #18
        Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

        Din bhar to maiN dunya k dhandhoN meiN khoya raha
        Jab deevaaroN se dhoop Dhalee tum yaad aayey


        Comment


        • #19
          Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

          yaadoN ke iztiraab ne lakiireiN kheiNch diiN
          warnaa mere sukoot ka kaaghaz safed thaa


          Comment


          • #20
            Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

            Aik khat khenchta hon dariya per, Naqsh ik zer-e-aab rakhta hon

            Apne dil ki kitaab main yaadain, Misl-e-barg-o-gulaab rakhta hon


            Comment


            • #21
              Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

              Pahlay to maiN cheeKh k roya aur phir haNsnay laga
              Baadal garja, bijlee chamkee, tum yaad aayey


              Comment


              • #22
                Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                Yaad kyaa dast-e-hunar hai ki sa.Nvarataa gayaa mai.n

                Us ko sochaa to use yaad hii karataa gayaa main


                Comment


                • #23
                  Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                  NaheeN jab yaad aatey to maheenoN tak naheeN aatey
                  Magar jab yaad aatey haiN, to aksar yaad aatey haiN?


                  Comment


                  • #24
                    Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                    Teri yaad ki ujri basti main tanhai ki gehri raatoon main,
                    Aik deep abhi tak roshan hai,aik zakham abhi tak gehra hai.


                    Comment


                    • #25
                      Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                      Phir saawan rut ki pawan chalee tum yaad aayey
                      Phir pattoN kee paazaib bajee tum yaad aayey


                      Comment


                      • #26
                        Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                        Phir kaaga bola ghar k soonay aaNgan meiN
                        Phir amrit ras ki booNd paRee, tum yaad aayey


                        Comment


                        • #27
                          Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                          Un se shikwa kaisa jin ki yaad ney baiTh k pahloo meiN
                          Saari raat aaNkhon meiN kaaTi - dard baTaaya saari raat


                          Comment


                          • #28
                            Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                            tujhe bhool jane ki koshishain kabhi kamyaab na ho sakee'n
                            teri yaad shakh-e-gulab hai, jo hawa chali to machal ut'thi


                            Comment


                            • #29
                              Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                              yaad dilwayeeN hum, qusoor muaaf
                              tum kisi aashna ko bhool gaye

                              waqt aaya to merey chara-gar
                              merey dukh ki dawa ko bhool gaye


                              Comment


                              • #30
                                Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                                Yaad karte hai tumhe tanhai mein ,
                                dil dooba hai gamo ki garai mein,
                                hume mat dhoundna duniya ki bhid mein,
                                hum milenge tumhe tumahi parchaai mein


                                Comment

                                Working...
                                X