Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

اشعار Ashaar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: اشعار Ashaar

    Koi Aaj Tak Na Badal Sakaa Yeh Usool Gulshan-E-Zeest Ka…
    Wohi Phool Nazr-E-Khizaan Hoa Jisy Aitabar-E-Bahaar Tha......


    Comment


    • Re: اشعار Ashaar

      daikh k dunia ko main bhi badloon ga apna mizaaj-e-zindagi
      Rabta toh sab se ho ga wasta kisi sey nahee


      Comment


      • Re: اشعار Ashaar

        Tootay Huwy Lafzon Men Rawaani Nahi Milti,
        Lamhon Men To Sadyaon Ki Kahaani Nahi Milti.
        **************
        Dil Jal Gaya Ab Us Men Dhuwaan Tak Nahi Uth'ta,
        Us Raakh Sy Tasweer Puraani Nahi Milti.


        Comment


        • Re: اشعار Ashaar

          Jo Maango Muqaddr Sy Hamen Wo Nahi Milta,
          Is Dour Ke Raaja Ko Bi Raani Nahi Milti.
          *****************
          Kyun dard ki Qandeel jlaye koi dil mai
          Halaat ki talkhi to zyada bhi hai km bhi ...


          Comment


          • Re: اشعار Ashaar

            Yaqen na aaye to ik baar PuUch kr dekho
            Jo hans raha hai vo Zakhmon se chuur niklegaa ...
            ***********************
            Yahi gila hy meri Aadatain Bigaar k tum
            Na jane konsi duniya me kho gaye chup chaap ...


            Comment


            • Re: اشعار Ashaar

              Maazi pe GuftuGu Say vo Ghabra rahey thay Aaj
              Main ne B Aaj Baat vohi Baar Baar kii ...
              **************
              Anaa Parast to hum b Ghazab k hy lekin
              Tere Gharoor ka basEhteram krty hy ....


              Comment


              • Re: اشعار Ashaar

                kaT hii ga_ii judaa_ii bhii kab yuu.N huaa ke mar gaye
                tere bhii din guzar gaye mere bhii din guzar gaye
                ************************
                jisko dekha na kabi us sey wafa karta hooN
                dil ke aainey mai maiN us se mila karta hooN
                *********************
                Maujon ki tapish kia hai? faqat zauq e talab hai
                Pinhan jo sadaf mein hai woh hai daulat e khud dad


                Comment


                • Re: اشعار Ashaar

                  Ajeeb rishta raha Khuch iss tarha apnon se
                  Na nafrat ki wajha mili na mohabbat ka sila


                  Comment


                  • Re: اشعار Ashaar

                    Mujhy Chhor Day Meray HaaL Par,
                    Tera Kya Bharosa Aey Hum Safar. . .!

                    Teri Mukhtasar Si Nawazishain
                    Mera DarD Aur Barhaa Na Dain..!!


                    Comment


                    • Re: اشعار Ashaar

                      Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,
                      Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi,

                      Yehi bahut hai ki vo dekh rahe hai kinare se,
                      Hum dub rahe hai to koi baat nahi…..


                      Comment


                      • Re: اشعار Ashaar

                        Tu Chala Gaya Mujhe chhor kar,
                        Maine phir bhi Tujhko Sadaayen dii,

                        Mere HumSafar tu ruka Nahi,
                        Ye Meri Sada ki Shikast hai…


                        Comment


                        • Re: اشعار Ashaar

                          کہو، کیا جل رہا ہے پھر جہاں میں آشیاں اس کا ؟
                          نہیں ، جب دل سلگتا ہے تو اٹھتا ہے دھواں اس کا

                          Comment


                          • Re: اشعار Ashaar

                            خطا دونوں کی تھی لیکن سزا کیوں ایک نے پائی؟
                            سنو تنہا تھا دل اپنا مگر سارا جہاں اس کا

                            Comment


                            • Re: اشعار Ashaar

                              سنو ، اس بےوفا کی یاد تو آتی نہیں ہو گی ؟
                              سنو ، دل رک سا جاتا ہے جو آتا ہے دھیاں اس کا

                              Comment


                              • Re: اشعار Ashaar

                                ساون کیسے تڑپاتا ہے بول سہیلی بول
                                کیسے سوچیں بکھراتا ہے بول سہیلی بول؟

                                Comment

                                Working...
                                X