Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf ashaar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: sirf ashaar

    Mukhtasir to waisay hi na thi qaid-e-hayat
    Or mayaad berha di shab-e-tunhaai nay

    Comment


    • #32
      Re: sirf ashaar

      Koi daikhey to mera hujra-e-zaat
      Wo sabhi kuch tha yaahan, jo tha hi nahi

      Comment


      • #33
        Re: sirf ashaar

        Misaal-e-berg-e-khizaan hai hawa ki zadd pay ye dil
        Na-jaanay shaakh say tootay to phir kidher jaaye

        Comment


        • #34
          Re: sirf ashaar

          Betha hua hoon phir us hi jaan-e-bahaar ko
          Tunhaai-e-khayaal mein mehmaan kiya huway

          Comment


          • #35
            Re: sirf ashaar

            Ujre Huy Darya Ki ToOti Faseel Par ..
            Deepak Ksi Ka Yaad Ka Roshan Hai Aaj B .. !

            Comment


            • #36
              Re: sirf ashaar

              Dooba hua hai dil mera yaadon ki jheel mein
              Aankhon mein khuwaahishon ki thakan ka khumaar hai

              Comment


              • #37
                Re: sirf ashaar

                Teri lagan nay cheen liya hai jeenay ka ehsaas tak
                Or tu hai k nazer aata nahi hai paas tak

                Comment


                • #38
                  Re: sirf ashaar

                  Pass Jaen To Hum Pe Khulta HAi ..
                  LoOg Saare Saraab Jese Hen ..
                  __________________

                  Comment


                  • #39
                    Re: sirf ashaar

                    Main sun raha hoon us ki sadaa us k baad bhi
                    Wo baam-o-derr ko quwat-e-goyaai day gaya

                    Comment


                    • #40
                      Re: sirf ashaar

                      Wo Jannat Mere DIL K Andar Chupi Thi
                      Jise Men Bahir Dhundta Tha
                      Tanhai Mere DIL Ki Jannat
                      Main Tanha Hon , Men Tanha Tha .. !
                      __________________

                      Comment


                      • #41
                        Re: sirf ashaar

                        kashti e jaan tou bhanwar me hai kai barson sei
                        aye Khuda ab tou dibodey ya kinara laadey

                        Comment


                        • #42
                          Re: sirf ashaar

                          Aik baar jo usay sochon to ho jaon shafa yaab
                          Mohabbat b kia cheez hai marny b nahi deti

                          Comment


                          • #43
                            Re: sirf ashaar

                            aaj ham bichre hain to kitne rangile ho gaye
                            meri ankhen surkh tere haath peelay ho gaye

                            Comment


                            • #44
                              Re: sirf ashaar

                              kab ki pathar ho chuki thi muntazir ankhen magar
                              chuu ke dekhaa to mere haath gile ho gaye

                              Comment


                              • #45
                                Re: sirf ashaar

                                Zindagi teri gehraiyo'n main hum
                                Mehfil main reh k bhi rahe tanhaiyo'n main hum
                                Deewanagi nahin to or kya kahain???
                                Insaan dhoondte rahe parchaiyo'n main hum

                                Comment

                                Working...
                                X