Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

    Teray derr say uth ker jidher jaaoon main
    Chaloon do qadam or theher jaaoon main

    KhumaaR un say terk-e-ta'alluk bajaa
    Mager jeetay jee kaisay mer jaaoon main

    Comment


    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

      mei mar mita tere naam pe tou hairaan ho kio
      tark e talluq kia tha tark e wafa tou nahi...

      Comment


      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

        Tum ne to hukm e Tark e Ta'auloq suna diya
        Kis dil se aah tark e tamana kare koi

        Comment


        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

          Dekha mujhay to terk-e-ta'alluq k baawujood
          Wo muskuraa diya ye hunar bhi us hi ka tha

          Comment


          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

            Hisaab e Tark e Ta'aluq Tamaam Main Ney Kiya
            Shuru Us Ney Kiya Tha Tamaam Main Ney Kiya
            bOht DinOn Mein Meray Ghar Ki KhaamOshi tOoti
            KhUd Apney Aap Sey iK Din Kalaam Main Ney Kiya

            Comment


            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

              Bus Ab Tark-e-Ta'aluq ho Chuka to ho Chuka Tum se
              Museebat Kya hai , Dereena Maraasam ki Duhaayi dein
              Kisi Tafseel mein Jaaney ki Aakhir Kya Zaroorat hai
              Tumhein Sacha Nahi Ham Maantey, phir kyon Safayi Dein

              Comment


              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                Naalaan hoon zamaanay say na halaat pay chup hoon
                Hai baat hi aisi k main jis baat pay chup hoon

                Is darr say tujhay koi na herjaai samhaj lay
                Main terk-e-ta'alluq k sawaalaat pay chup hoon

                Comment


                • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                  Talluq tor'd do par mujhe itna to batla do,
                  Tumhare baad dunya me meri pehchan kya hogi..

                  Comment


                  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                    Hawaa-e-terk-e-ta'alluq chali hai dayhaan rahay
                    Mager ye baat hamaaray hi dermiyaan rahay

                    Comment


                    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                      Terk-e-ta'alluq apni khata ho aisa bhi ho sakta hai
                      Wo ab bhi paa-band-e-wafa ho aisa bhi ho sakta hai

                      Derwaazay per aahat sun ker us ki taraf kiun dayhaan gaya
                      Aanay waali sirf hawa ho aisa bhi ho sakta hai.

                      Comment


                      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                        Tark-E-Taluq Ki Pahel Mein ne Ki
                        Chahta To Wo Tha Magar Us Mein Hosla Na Tha
                        Chorne Ka Faisla To Roz Kerta Tha WO Magar
                        Meri Wafa K Aage Uska bas Chalta Na Tha

                        Comment


                        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                          Ik faqat terk-ta'alluq ka hunar hai teray paas
                          Istaymaal is ka meri jaan tujhay sochna hai

                          Mujh say matt pooch k main sochta kiun rehta hoon
                          Kis ki khaatir hoon parayshaan tujhay sochna hai

                          Comment


                          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                            Bichhar Ke MUjH Se Wo Kitna Ajeeb Lagta Hai
                            .
                            MUjHE Wo MERi Tarha BadNaseeb Lagta Hai
                            .
                            Ye Kaisa Tark-E-Taaluq Hai Kaisa Jabar Hai Ye
                            .
                            Ke MAiN Luttaa Hoon To Wo Bhi Ghareeb Lagta Hai

                            Comment


                            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                              Barhaa Tark-e-Talluq pe bhi jab yaad kia
                              Mere honton se tere naam ki khushboo ayi
                              __________________

                              Comment


                              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                                Hamein wo saber k is mour tak laanay ka khuwahaan hai
                                K tung aa jaayein hum, maangein dua terk-e-ta'alluq ki
                                __________________

                                Comment

                                Working...
                                X