Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    Originally posted by Gul View Post
    yun ronay say bhi duhltay hein kabhi daagh kahin ghum kay
    Yun ban kay tamasha sa , auroun ko na behla-ein
    Excellent :clap:. I m impressed.

    naqsh diyey teri aashnaoun ko, aks diyey tere sapnon ko
    lekin dekh hamari halat! waqt ney kya tawaan liya
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      thanx janab:)

      aks-e-khusboo thay so bikhrnay say na roka khud ko
      aur naqsh ho gay huma, kaanch ki deewaroun pay....

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        yeh bhi nahin keh dast-e-duaa tak nahin geya
        mera sawaal khalq-e-khuda tak nahin geya
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          aik ehsass ki chubhan thee k tarpati rahi
          aik dua the lab pay jo machalti rahi..........

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            yehi dil tha keh tarasta tha murassam key liye
            yehi tark-e-ta'aluq key bahaney maangey
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              yunhi moasam ki adaa daykh kay yaad aya hay
              kis qadar jald badal jaatay hein insan jaana.............

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                un sey mil ker bhi kahan mit'ta hai dil ka iztiraab
                ishq ki deewar key dono taraf saya nahin
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  OH GOOD AJ MARE 2 GREEN LIGHT ON HO GAIN


                  Na ya rokte hen na chalte hen na tahrete hen kahen
                  noor ke bonden sadaeyoon se baha karte hen
                  sirf ahessas he rooho se ase mahsoose kiro
                  piyar ko piyar he rahne do koie nama na do
                  Last edited by MuQadas; 27 October 2006, 22:21.

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    woh to kab ka apni manzil per pohanch ker so chuka
                    chand kya jaaney keh raah-e-pur'khatar mein kaun hai
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      ye kyaa ke ek jahaa.N ko karo vaqf-e-iztaraab
                      ye kyaa ke ek dil ko shakebaa.N na kar sako

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        woh tere huns ka jadu ho keh mera gham-e-dil
                        har musafir ko kisi ghaat utar jana hai
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          Ye dua'ae Mus-hafi hae, jo ajal bhi us ko aaway
                          Shab-e wasl ko tu YA-RAB, na shab-e wafaat karna

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            ik ham key aarzu'oun peh jeetey hain umer bhar
                            ik woh keh hain abhi sey pashemaan-e-aarzu
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              woh mujhey yaad to karta hai magar youn jaisey
                              ghar ka darwaza kisi raat khula reh jaaey

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                Yunhi mausam ki ada dekh ke khiyaal aaya hai
                                Kis qadar jald badal jatay hain insan janaaN
                                Mainda Ziker Vi Tu'n, Mainda Fiker Vi Tu'n
                                Mainda Zoaq Vi Tu'n, Vajdaan Vi Tu'n
                                Mainda Aval, Akhir, Ander, Bahir
                                Zahir Tey Pinha'an Vi Tu'n
                                Mainda Bakht Tey, Naam Nishan Vi Tu'n

                                Comment

                                Working...
                                X