Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    ye ajab ha mohabat ky zamana janta hai
    na mai uski manta hon na vo mere manta ha
    koi us say pochy usay kiya mila bichar kay
    mai bhe khak chanta hon vo bhe khak chanta ha


    yay

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      Yaad karte hai tumhe tanhai mein,
      dil dooba hai gamo ki gehrai mein,
      hume mat dhoondna duniya ki bhid mein,
      hum millenge tumhe tumhari parchaai mein


      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        Originally posted by amber
        Yaad karte hai tumhe tanhai mein,

        dil dooba hai gamo ki gehrai mein,
        hume mat dhoondna duniya ki bhid mein,
        hum millenge tumhe tumhari parchaai mein




        Buhat hee khubsurat
        i think you have a great colection of these..poetry:rose

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          thanks

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Nidhaal kerny lage ha uski bay rukhe verna
            kabhe to hum bhe hawa'on ky rukh badalty thy

            yay

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              Yoon teri shanaakht mujh mein utray
              pehchaan tak apni bhool jaoon.........



              next NOON

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                na manziloon ko na ham rahguzar ko dakhtay hain
                ajaab safar hay k bas hamsafar ko dakhtay hain
                na pooch jab wo guzarta hay baniazi sa
                to kis malaal sa ham namabar ko dakhtay hain
                next.....noon

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  Naa janey kon sa woh badnaseeb lamha tha.....
                  Jo gam ki aagh main mujh ko jala gaya chup chap


                  "pay'
                  sigpic

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    Phool bhi fanah ho gaye tere intezar se
                    Bheed mein bhi tanha ho gaye
                    tere inkaar se
                    Dil mein rakha hai tujhe bade hi pyaar se
                    Zindagi lutta dun tere ikraar se

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Yaad rakho to dil key paas hain ham
                      bhool jao to faasley hain bohat


                      tey
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Tum say kehna to bhoat kuch tha mager in honto per
                        shayad is baar bhe aik hurf na aa pa'ay ga


                        alif

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          Ab FRAZ tujh per bhi aetbar kia kijiye!
                          intezar tha kis ka!sath chal parra kis ke!


                          yay

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            yeh or baat hai keh mumber pe aa ke kuch na kahain
                            khamoosh log bala ke khateeb hote hain

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              Nahin aati to yaad unki maheeno nahin aati
                              magar jab yaad aatey hain to akser yaad aatey hain

                              Hasrat Mohani
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                Neem shab ki khamoshin main ' bheegte serko per kal
                                tere yadon ky jalwy main ghomna achaa laga


                                alif

                                Comment

                                Working...
                                X