Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    Aik Aisee Bhe Ghari Ishq Main Aai The Kah Hum ~
    Khak Ko Hath Lagaty To Sitara Karty.

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      Yeh saada log jo bay aas je lye hian yahan
      nah jane keu humain in se nadamtein bhi hoiN
      Allah

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        Na itna bhi koi Hasrat zada majboor ho jaey
        keh ho nazdeek manzil aur us sey door ho jaey
        hifazat dil ki kyun koi karey raah-e-muhabbat mein
        yeh sheesha hai yehi behtar keh chakna-choor ho jaey


        Next Yey
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          ya dil bhulata nahe mohabbatain uski
          pare hoe hain mujhy kitne aadatain uski
          mai barishon main juda ho gae hon us say mager
          ya dil mera sansain mere amanatain uski

          next yay

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Ye duniya he yahan ik doosre ke kaam ajao
            Yahan ke baad to bas apna apna bojh uthana he

            next ye

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              Yahan Aayeh they Duniya dekhne ko
              Mila apna hi tamasha dekhne ko
              sigpic

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                wafa ka dasht kesa tha, bataoo tum pe kya beeti?
                bhatak jana hi kam tha hum ko, wahan pe raat gehri thi

                next ye

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  Yeh sila milla hai mujh ko teri dosti key peechhey
                  keh hazaron zakhm laggey hain meri zindagi key peechey


                  Yey
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    ye alag baat hai zahir na hoa tujh per
                    kitna mehsoos kiya mai ny tujhy tery bad

                    daal

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Dil Wo Nagar Nahe K Phir Aabaad Ho Sakay
                      Pachtayo Ga Suno Yay Bastee Ujhar Kar

                      Next....ray

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        rah gaey ashak meri aankh mein mauti ban gaey
                        un key daman peh chamaktey to sitarey hotey


                        yey
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          ye mere khwabon ki manzil nahi lekin
                          ab agaya hoon tu kiyam kar ta chaloon


                          next NooN

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            naya mosam meri benyai ko tasleem nai
                            meri ankhon ko wahi khuwab purana la de
                            Yeh
                            Allah

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              Yon to wo mere rag - o - jaan say bhe thay nazdeek ter
                              aanso'on ki dhund main jo pehchanay na ga'ay
                              wahshatain kuch is tarah apna muqaddder ho gae
                              hum jaha pohchay hamary sath veeranay ga'ay

                              yay

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                Yeh alag bat hey k hum ko nah mila rang koi
                                hum to pani hein har ik rang mein dhal saktay hein

                                noon

                                Comment

                                Working...
                                X