Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    Yahe nahe ky humain tour gaya hai koe
    usay bhe bohat dair khud ko jorna hoga

    alif

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      ab jis ke jee mein aaye wahi paaye roshani
      ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diya

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        udas shab mein, karri dopehar key lamhon mein
        koi chiragh, koi soorat-e-gulab utrey

        yey
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi
          Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya
          Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila
          Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Un ky adbi zouq sy yon hosla hum ko mila
            haal-e- dil kehty rahy hum shairi ki aar main

            noon

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              Nasir Yoon Uski Yaad Chali Haath Thaam Ke
              Mele Mein Is Jahan Ke khone Nahi diya

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                Aaasan nahe hai kashmakash - e -zaat ka safer
                hai aagahe ky bad ghum - e- aagahe bohat



                tay

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  hi salamzzzzz


                  Tum ny jy b kiya apna bayan rehny do
                  jhooty lafzoon sy na khailo meri jan rehny do
                  apni zulfoon sy hi nimat lu tu bari baat hai yeh
                  kia sanwaroo gy mera bahat meri jaan rehny do

                  next wao....

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    Vo bhoolpan tha ky her doosry sitam ger ka
                    hum apny aap say ziada khayal rakhty thay
                    ise liay mai tera shahar choor aaya hon
                    waha ky loog dilon ma malaal rakhty thay


                    yay

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      hi salaaaamzzzzzzzz


                      yeh ju dewany sy do char nazar aty hain
                      in myn kuch sahiby israr nazar aty hain
                      teri mehfil ka bharam rkhty hain so jaty hain
                      warna yeh loog tu bydar nazar aty hain
                      dour tak koi sitara hai na koi jugno
                      margy umeed k asar nazar aaty hain
                      mery daman myn shiraron k siwa kuch b nahi
                      aap pholon k hareedar nazar aty hain
                      kal jinhain chu nahi sakti thi farishtoon ki nazar
                      aaj wo ronqy bazar nazar aty hain
                      huashar myn kon gawahi dy ga meri sagar
                      sab tumhary hi traf dar nazar aaty hain

                      next noooon

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Na to ghum ki dhoop jala sake na to mosamo ka aser hoa
                        wo mere wafa ka he phool tha jo ab tak ha khila hoa
                        mere baat aur hai choryay mai aseer - e - jazaba - e- ishq hon
                        zara apny dil ko bhe daikhye yay batlaiyay usay kiya hoa


                        Alif

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          Us ko juda hoyay bhe zamana bohaat hoa
                          Ab kia kahain ya kisa purana bohaat hoa
                          Ab kiyoon na zindage pa muhabaat ko vaar dain
                          Es aashke main jaan sa jana bohaat hoa

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            Aaey bhi log, baithey bhi, uth bhi kharey huwey
                            main jaa hi dhoondhta teri mehfil mein rah geya

                            alif
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              insan mukamal to apna bhi nahi hota
                              or us ne likha he me serf tumhara hun

                              next noon

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                Is ma qismat ki khata hai na zamany ka qasor
                                ghum to insaan ky jeeny ki saza hoty hain


                                noon

                                Comment

                                Working...
                                X